Computer me koi bhi Data/File permanently delete kaise kare ! Hindi me

Dosto kaise hai aap sab hum aasha karte hai bahut achche honge aaj hum fir se aapke liye computer se related jankari lekar aaye hai. Aaj ke liye hamara topic hone wala hai ki Apne Laptop ya fir Computer se koi bhi data permanently delete kaise karte hai. Ab bahut sare log to iske bare me jante honge par jinhe iski jankari nahi hai ki computer se data/file permanently delete kaise kare unke liye yah post bahut upyogi hone wali hai kyoki aapko aaj kuch naya sikhne ko milega aur is post ko padhne ke baad aap apne pc se bahut aasani se koi bhi data ya file permanent delete karna bhi sikh jayenge. Hum jante hai ki bahut sare log iske bare me nahi jante hai aur aapko computer se data ko puri tarah se delete karte aana chahiye kyoki yah computer ka basics knowledge hai.
Computer me koi data permanently delete kaise kare
Dosto jab hum apne computer me kisi bhi file ko ya fir data ko delete karte hai to wah delete ho jata hai lekin yah temporary delete hota hai permanent delete nahi hota hai kyoki jo bhi data/file aap delete karte hai wah aapke computer ki recycle bin me chala jata hai aur waha par store hota hai isliye agar hum apne computer koi data puri tarah se delete karna chahte hai to usko recycle bin se bhi delete karne ki jarurat hoti hai iska option aapko control panel aur my pc me mil jata hai. Dosto isliye aaj hum aapko iski puri jankari dene wale hai lekin ek baat yaad rakhe ki jab aap pc se koi bhi data permanently delete karte hai to usko fir kabhi recover nahi kiya ja sakta hai isliye kisi bhi file/data ko computer se permanently tabh hi delete karna chahiye jab aapko uska aage koi kaam nahi ho. Chaliye hum bahut baat kar chuke hai ab sidha point ki baat karte hai aur jante hai ki computer se data permanently delete kaise karte hai.

Apne computer se data/file permanently delete kaise kare puri jankari

Hum aapko is post me ek file permanently delete karke batane wale hai aur isi tarah se data ko pc se puri tarah delete karte hai isliye aap niche bataye hue instructions achche se follow kare aur agar kuch samajh nahi aata hai to uske liye hum aapki help karenge to chaliye process dekh lete hai.

STEP-:1 Sabse pahle aapko apne computer ke my pc wale option me jana hai aur yaha par views par click karke Navigation pane par click karna hai isse aapke samne kuch option show hote hai to yaha par Show all folder ko tick mark kare isse aapke my pc me niche Recycle bin ka option show hone lag jata hai.
tick show all folders
STEP-:2 Ab aapko data/file delete karna hai jise bhi apne computer se permanently delete karna chahte hai hum yaha par ek file delete kar rahe hai aap is image me dekh sakte hai.
delete file from pc
STEP-:3 File ko delete karne ke baad aapko recycle bin ke option me jana hoga aur agar aapke isme recycle bin show nahi hota hai to aap first step ko follow kare isse aapka kaam ho jayega.
go to recycle bin
STEP-:4 Aap abhi jo file delete kiye the wah recycle bin me store ho gayi hai aapko ise yaha se bhi delete karna hai aur aapka kaam ho jayega ab jo file recycle bin se delete kar chuke hai wah aapke computer se puri tarah se delete ho gayi hai.
delete file from recycle bin
To dekha dosto yah kitna aasan hota hai is tarah se aap bahut aasani se apne computer se kisi bhi file ko permanently delete kar sakte hai iske alawa aap agar chahe to shortcut keys ka upyog kar sakte hai aapko iske liye kisi bhi file ko select karna hai aur uske baad Shift ke sath delete press karna hai isse wah file delete ho jati hai aur recycle bin me nahi jati hai yaani ki computer se data/file permanently delete ho jata hai hume puri ummid hai ki aapko dono tarike bahut achche se samajh aaye honge aur agar aapka fir bhi koi sawaal bacha hai to comment karke jarur puche aap hamari computer se releted dusri post bhi jarur padhe.

Computer se data delete karne ke fayde aur nuksan

Aap agar apne computer data delete karte hai to usse koi pareshani nahi hoti hai kyoki aapka delete hua data recycle bin me store ho jata hai lekin jab aap apne data ko recycle bin se bhi delete kar dete hai to aapke pc se data ya file permanently delete ho jati hai uske baad aap usko recover nahi kar sakte hai isliye jab bhi aap apne pc se koi data puri tarah se delete karte hai to usse pahle yah jarur soche ki aapko us data ka fir koi kaam nahi ho kyoki agar aapko data fir se chahiye hota hai to permanent delete hone ke baad aap usko recover nahi kar sakte hai. Baaki aap data permanently delete karte hai to aap aur storage mil jata hai aur aap extra data store karke rakh sakte hai.

Conclusion

Finally aaj hum computer me ek aur nayi chij sikh gaye hai Ab aap bhi jaan gaye hai ki computer me data/file permanently delete kaise karte hai. Dosto ab jab bhi aapko apne computer se koi file puri tarah delete karna hai to usko recycle bin se bhi delete kare aapko iski jankari upar post me mil gayi hai aur hum ummid karte hai ki aapko computer se data delete karne ki puri process samajh aayi hogi. Aapko agar hamare likhe hue articles achche lagte hai to aap inhe apne dosto ke sath jyada se jyada share kare taaki dusre logo ko bhi computer ka achcha knowledge ho sake aur hamare blog ko subscribe karne par new updates ki jankari sabse pahle mil jayege filhal aaj ka hamara post isi ke sath khatm hota hai hum aapse jaldi milenge ek new post ke sath abhi ke liye good by aapka samay achcha rahe.

Post a Comment

Previous Post Next Post