Computer start nahi ho raha hai ! To kya kare full guide

Hello Guys ! kaise hai aap log hum ummid karte hai ki aap bhi hamari tarah achche honge. Hum aapke liye aaj computer se related ek esi problem ka solution lekar aaye hai jiski jarurat har computer user ko hoti hai. Kya aapke sath esa kabhi hua hai ki aapka Computer start nahi ho raha hai aur ab aapko samajh nahi aa raha hai ki ese me kya kare. Har Computer user ko yah problem dekhne ko mil hi jati hai aur ese jinhe iska solution pata hota hai to wah log ise fix kar dete hai par jo new computer users hote hai unhe nahi pata hota hai ki agar computer start nahi ho raha hai to aage kya karna hai isliye hum aapke liye is post ko likh rahe hai taaki jitne bhi new computer users hai unhe bhi pata chal sake ki agar hamara computer start nahi ho raha hai to hume kya karna chahiye dosto post thoda lamba hone wala hai isliye aap ise pura padhe taaki aapko sab kuch achche se samajh aaye.
Computer start nahi ho raha hai
Ab computer start nahi hone ke piche bahut sare reasons ho sakte hai vaise to hum aapko is post me jitne kaaran hote hai unki puri jankari denge. Aapko hum jitne solutions batane wale hai aap wah sabhi apne pc me try karke dekhna hoga kyoki yah hum nahi bata sakte hai ki aapke liye konsa solution work karne wala hai aur esa isliye hai kyoki aapke computer ke start nahi hone ke piche bahut sare kaaran ho sakte hai aur har problem ka apna alag solution hota hai to aapko is baat ka dhyan rakhte hue pahle yah pata karna hota hai ki computer start nahi hone ke piche kya wajah hai aur agar aapko iske bare me samajh nahi aata hai to fir hum jitne bhi solutions bata rahe hai aap un sabhi ko try karke dekhna hoga isse aapka computer start ho jata hai. To chaliye dosto aage hum computer start nahi hone ke piche ke reasons aur unke solutions ke bare me jaan lete hai.

Computer start nahi ho raha hai Reason and Solutions

Jaisa ki hum aapko yah baat pahle bata chuke hai ki computer ke start nahi hone ke piche bahut sare kaaran ho sakte hai to hum ek ek karke sabhi ke bare me janenge baaki agar aapko koi bhi problem hoti hai to aap hume message karke ya fir comment me puch sakte hai to chaliye jante hai ki agar computer start nahi ho raha hai to uska kaaran kya ho sakta hai sath hi start nahi hone par kya solutions possible ho sakte hai.

Computer ka power button kaam nahi karna
Dosto ese bahut sare log hote hai jinka computer purana ho jata hai to uska power button samay ke sath kaam karna band kar deta hai to ese me aapko apne computer ke power button ko replace karna hoga iske liye to aapko repair shop par jana hoga jaha par aap apne computer cpu ka power button thik karwa sakte hai uske baad aapka computer start ho jayega.

Computer me Power Supply check karna
Aapko dekhna hoga ki computer me sabhi plug achche se lage hai ya nahi kyoki kabhi kabhi dust ki wajah se computer ko sahi se power supply nahi mil pata hai to ese me agar computer start nahi ho raha hai to aap apne pc ke sabhi plug nikale unhe saaf karke fir se lagaye isse aapka computer start ho jata hai.

Computer Freeze hone par start nahi ho raha hai
Esa bhi ho sakta hai ki aap apne computer ka bahut jyada upyog karte hai aur uska storage bhi full ho gaya hai to ese me bhi aapka computer start nahi hota hai isliye aap apne computer ko clear rakhe aur jis chij ki jarurat nahi hai usko apne computer se delete kar dijiye. Ab agar aapka computer freeze ho jata hai to aap iske liye apne computer ko reboot kare aur update karke rakhe isse aapka computer puri tarah se start ho jata hai aur sahi se chalne lagta hai.

Computer/Laptop start nahi hone par bettry ko nikale
Computer/Laptop start nahi ho raha hai to aap ek kaam yah bhi kar sakte hai ki aap uski bettry ko nikale aur usko saaf karke fir se apne pc me lagaye iske baad aap apne pc ko start karte hai to wah start ho jata hai aur yah wala tarika mostly kaam karta hai to agar computer start nahi hota tab aap bettry ko nikal kar fir se lagaye. 

Computer ke start nahi hone par repair store me apna pc dikhaye

Last me agar aapke liye koi bhi method kaam nahi karti hai to ese me aapke sirf ek hi tarika rah jata hai ki aap apne computer ko repair shop par lekar jaye isse shop wala aapke computer ko achche se check karke aapko bata dega ki aapke pc me kya pareshani hai. Iske liye aapke kuch paise jarur lagenge par shop wala aapke computer/laptop ko puri tarah se thik karke dega. To dosto yahi kuch reasons hote hai aur inki wajah se kabhi kabhi hamara computer start nahi hota hai baaki last me to yahi option hota hai ki aapko computer repair shop par jana hi padta hai. Aap chahe to hamari dusri post bhi padh sakte hai kyoki hamari dusri post bhi aapke liye bahut helpfull rahegi.

Conclusion

Dosto is tarah se aap apne computer ko thik kar sakte hai ab agar aapke computer me koi problem hoti hai jiski wajah se wah start nahi ho raha hai to aap hamare bataye hue solutions follow kar sakte hai isse aapko bahut help milne wali hai. Hum abhi yahi ummid karte hai ki is post se aapko help mili hogi aur agar aapka computer start nahi ho raha tha aur is post me bataye hue solutions se fir start ho gaya hai to jaldi se ise apne dosto ke sath share kare hum aapko aage bhi ese hi computer se related content dete rahenge isliye aap chahe to latest update pane ke liye hamari website ko subscribe kar sakte hai. Computer start nahi hone par usko thik kaise karna hai yah to hum sikh gaye hai to chaliye aaj ke post me itna hi hum jaldi aapke liye new content lekar aate hai tab tak ke liye good by.

Post a Comment

Previous Post Next Post