control panel [Cpanel] kya hai puri jankari
Control panel ke function and features hindi me
Sabse pahle hum baat karte hai device manager ke bare me dosto computer me device manage ka upyog hardware aur software ko jodne ke liye kiya jata hai. Hum aapko ise ek example ki madad se samjhate hai. Aap apne computer me keyboard ya mouse lagate hai to unki madad se hum jo bhi functionality apne computer me karte hai wo software ki wajah se hoti hai aur in dono ko aapas me jodne ka kaam device manager ki madad se kiya jata hai. Yah control panel ka sabse important function hai.
Control panel me aapko display ka feature dekhne ko milta hai aap display option me jakar apne computer ki display me changes kar sakte hai jaise ki aap apni display ka size change kar sakte hai aur agar aapko screen rotate karna hai to uska bhi option hota hai aap chahe to magnify ki madad se apni computer display ko zoom bhi kar sakte hai. Control panel me personalization ki madad se aap computer display ki home screen me wallpaper bhi change kar sakte hai aur screen colors me bhi badlaav kar sakte hai.
Hamara agla function hai file explorer option. Aap iski sahayta se apne computer me uplabdh sabhi file and folder ki settings kar sakte hai. Jaise ki hum apne pc me folder open karne ke liye double click karte hai par agar aap ise single click me open karna chahte hai to aapko control panel me jakar file explorer option feature ka upyog karna hoga. Aap agar koi file ya fir folder hide karna chahte hai to wo bhi aap iski madad se aasani se kar sakte hai itna hi nahi aap yaha par file ka extension bhi change kar sakte hai.
Keyboard and mouse bhi control panel ke sabse jaruri function me se ek hai aapko keyboard se related koi bhi changes karna hai to control panel me jakar kar sakte hai aur wahi agar computer mouse me kuch change karna hai jaise mouse cursor ki speed kam jyada karna hai ya fir cursor ka look change karna hai ya fir mouse ke primary and secondary button me kuch badlna hai ya fir right click, left click me kuch badlaav karna hai to wo bhi kar sakte hai kyoki aapko control panel me mouse aur keyboard se related sabhi settings dekhne ko mil jati hai.
Ab control panel ka ek kamaal ka feature fonts bhi hai aap apni jarurat ke hisaab se apne computer me fonts badal sakte hai aur agar aap kuch naye font apne computer me jodna chahte hai ya fir koi font delete karna chahte hai to ye kaam bhi aap control panel me font wale features ki madad se kar sakte hai. Aap new fonts ko add karke unhe apne computer ya laptop me kahi bhi upyog me le sakte hai.
Computer me aapko bahut sari language ka option dekhne ko milta hai aap control panel ki madad se apni pasand ki language choose kar sakte hai aur apne computer ko us language jise aapne chuna hai usme upyog kar sakte hai.
Ab network setting bhi control panel ka ek function hai aapko internet upyog karna hai aur usme ko pareshani hai to aap network setting ki madad se usko thik kar sakte hai wifi dongle se related problems ko aap network setting ki madad se fix kar sakte hai.
Control panel me user account ka feature bhi dekhne ko milta hai jiski madad se aap multiple use account create kar sakte hai isme aap in account me passwords bhi set kar sakte hai dusre logo ke sath apne user account share kar sakte hai.
Computer me Troubleshooting control panel ka ek esa function hai jiski madad se aap windows computer me aane wale error ko fix kar sakte hai. Agar aapke computer me koi software nahi chal raha hai usme pareshani ho rahi hai to aap troubleshooting ki madad se usko thik kar sakte hai.
Aapke computer me jitne bhi software available hote hai wo sab aapko program and features me dikhaye jate hai aur agar aako kisi software ka version ya uski size ke bare me janna hai ya fir usko delete karna hai to aap control panel me jakar program and features ki madad se aasani se kar sakte hai.
Computer me Control panel open kaise kare
Run box ki madad se control panel open kare
- Keyboard me windows+R press kare.
- Ab yaha par control panel type karke enter kare.
- Aapke samne control panel khul jayega.
Start menu ki madad se control panel khole
- Sabse pahle aapko computer me windows key press kare.
- Yaha par search bar me control panel type karke search kare.
- Aapke samne control panel ka option aayega is par click kare.
N
ReplyDeleteShivatoran@gmil.com(Google)
ReplyDelete