Guys kya aap jante hai jis tarah se phone me screen shots liya jata hai thik usi tarah se Computer me bhi screenshots liya ja sakta hai. Har computer users ko computer ki basic chijo ki jankari hona chahiye aur screen shots lena computer ki basic jankari hai jiske bare me aapko pata hona chahiye. Aap soch kar dekhiye jab hum internet chalate hai ya fir hume koi esi jaruri chij mil jati hai jise hum store karke rakhna chahte hai maan lete hai jaise hume koi web page par esi jankari milti hai jise hum ofline bhi dekhna chahte hai to us web page ka screenshot lekar apne computer me store karke rakh sakte hai aur jab aap esa karte hai to bina internet ke bhi screenshot me data ko dekh sakte hai aur jarurat ke hisaab se uska upyog bhi kar sakte hai.
Hum me se bahut sare log hai jo screenshots ke bare me bhi nahi jante honge to aapko bata dete hai screen shots ka matlab yah hota hai aapko computer screen par jo dikh raha hai use capture karna hai iska upyog isliye hota hai taaki hum important information ko store karke rakh sake aur jarurat ke samay uska use bhi kar sake. Jis tarah se hum apne mobile me kai tarah se screenshot le sakte hai thik vaise hi computer me bhi aapko multiple tarike milte hai jiski madad se aap aasani se screenshots le sakte hai. Aap jab bhi apne computer ya fir laptop me screen shots lete hai my computer me ek folder screenshots naam se ban jata hai jaha par wah sabhi screenshots store hote hai jo aap lete hai. Chaliye ab hum jante hai ki computer screenshot kaise lete hai iski puri process detail se dekhte hai.
Computer aur Laptop me Screenshot kaise lete hai ! Multiple method
Hum aapko yah to pahle hi bata chuke hai ki screenshot lene ke bahut sare tarike hai aur usme se kuch aasan tarike hum aapko batane wale hai to chaliye sabse pahle Shortcut key ka upyog karke screen shot kaise lete hai iske bare me jante hai.
Shortcut key ka upyog karke screenshot kaise lete hai
Dosto agar computer me screenshot lene ka sabse aasan tarika koi hai to wo shortcut key hota hai computer me screenshots lene ke liye is method ka hi upyog sabse jyada kiya jata hai iski madad se aap single click me screenshots le sakte hai. Chaliye aapko batate hai.
- Sabse pahle aapko jis page ka screenshot lena hai usko apne computer open kar lijiye.
- Jab aap us page ko screen par khol lete hai tab aapko keyboard me Windows+prtsc yah shortcut key press karna hai.
- Aapka screenshot capture ho jayega jo my computer me pictures ke folder me save ho jayega.
Is tarah se shortcut keys ka upyog karke aasani se screenshot liya ja sakta hai ab hum iske liye dusra method dekhne wale hai.
Snipping Tool ki sahayta se screenshot lene ka tarika
Computer me screenshot lene ka ek aur achcha tarika yah hai ki aap snipping tool ka upyog kar sakte hai yah sabhi computer me available hota hai. To agar aap snipping tool ki madad se screenshot lena chahte hai to niche bataye hue sabhi steps achche se follow kare humne iske bare me image ke sath bataya hai taaki aapko achche se samajh aaye.
Aapka pahla kaam yahi hai ki wah page open kar lijiye jiska aapko screenshot lena hai fir windows button press karke program and file search kare aur isme snipping tool ko search kare jaisa is image me dekh sakte hai.
Jab aap snipping tool select karte hai to aapko ek popup me 4 option dekhne ko milte hai yaha par aap last wala option Full-screen snip par click kare.
Ab aapko jo bhi size chahiye wah select kare ya fir mouse ka right click karke jitna screenshot chahiye wah select karke left me upar ki taraf save snip par click karna hoga.
Ab aapko yaha par file name me jo bhi naam dena chahte hai wah name dijiye aur aap apne screenshot ko jaha par store karna chahte hai us folder ko choose karke save par click kare isse aapka screenshot aapki pasand ke folder me save ho jayega.
To dosto yah snipping tool ki madad se screen shot lene ka tarika tha jo aapko achche se samajh aaya hoga iske alawa hum aapko ek aur tarika bata rahe hai jo bahut aasan hai to chaliye 3rd method computer me screenshots lene ke liye jo hai uske bare me bhi jaan lete hai.
Prtsc aur MS Paint ki madad se screenshot le
Aapko agar prtsc aur Ms paint ki madad se screenshot lena hai to iski process bhi bahut aasan hoti hai aap bas niche bataye hue simple steps follow kare aapka screenshot capture ho jayega.
- Jis page ka screenshot lena hai usko apne computer me open kare aur keyboard me prtsc wala button press kare.
- Iske baad windows button press karke yaha se Paint ke option par click kare isse paint khul jayega.
- Yaha par aapko Ctrl+v press karna hai jo aapka screenshot yaha par capture ho jayega.
- Iske baad aapko simply Save as par click karke file name dalna hai aur last me save par click karna hai.
- File name aap kuch bhi daal sakte hai aur jaise hi save par click karte hai aapka screenshot save ho jata hai.
Aaj hum aapko teen tarike bata chuke hai jiski madad se aap apne computer ya laptop me aasani se screenshots le sakte hai aapko kisi bhi method me problem hoti hai to aap comment karke hume bata sakte hai hum aapki puri madad karenge.
Conclusion
Dosto aaj humne aapko bataya ki multiple method se computer/laptop me screenshots kaise lete hai aur aapko teeno tarike achche se samajh bhi aaye hai ab aap inhe try karke dekhe aur apne computer me screenshots lekar dekhe. Aapko yah post kaisa laga iske bare me comment jarur kare aur aage bhi ese hi computer ke bare me aur adhik janne ke liye abhi hamari website ko subscribe kare is post ko filhaal hum yahi par khatm karte hai aur jaldi hi computer se related kuch naya content lekar aapse fir mulakat hogi tab tak ke liye good by aapka din achcha rahe.
Tags:
Computer tricks
windo wale button se windo ni
ReplyDeleteThank you sir, This article is very helpful to me and it has cleared all my questions and doubts.
DeleteVisit quanta tech to get tips and tricks of Technology, Android, Websites and others.
hello, sir very nice information.
ReplyDeletebut jo Apne computer short cut ki trick batayi hai vo mere computer me work nhi kar rhi hai , to uska koi solution hai .
nyssss information bhai
ReplyDeleteYour article is unmatchable read mine too on Tech News
ReplyDelete