Kaise hai dosto aap log hum achche hai aur ummid karte hai ki aap bhi bahut achche honge. Aaj hum fir se aapke liye computer ke bare me ek aur nayi jankari lekar aaye hai. Aapko is post me kuch naya padhne ko milne wala hai kyoki aaj hum computer me multiple user account kaise banate hai dosto agar aap apne computer ko sahi tarah se uska pura upyog karna chahte hai to aapko ek user account banane ki jarurat hoti hai kyoki jab aap apne windows ke liye user account banate hai tabhi aap file and folder access kar sakte hai aur ek user account se decide hota hai ki aapke paas computer me kitna acces hai. Computer me agar aap chahe to multiple user account computer me bana sakte hai isse aapke pc me security bani rehti hai iske bare me janne wale hai.
Multiple user account aap yah se t kar sakte hai ki kis user account ke paas kitna acces hota hai aur iske alawa aap apne har user account par apni pasand ka wallpaper aur password laga sakte hai iske alawa bhi aap user account banane ke baad bahut sare option dekhne ko milte hai. Aap computer guest account create kar sakte hai taaki agar aap kisi aur ko apna pc dete hai to use guest account par set karke de sakte hai isse aapki privacy maintain rahti hai kyoki new user account me aapka koi bhi data nahi rehta hai aap ise kah sakte hai ki jab bhi hum apne computer me koi new user account banate hai to computer user account par ek dum naya ho jata hai usme sirf wahi data rahta hai jo aap dalte hai to is tarah se aap apne pc ko kisi aur ke sath bhi share karte hai to aapko privacy ki koi bhi samsya nahi hone wali hai. Chaliye hum aapko user account ke bare me thoda detail se jankari dete hai.
Computer me user account kya hai puri jankari
Sabse pahle to aap yah samajh lijiye ki computer me hum 3 tarah ke user account bana sakte hai isme Administrator account, Standerd account aur guest account hote hai. Aapke pc me jo main account hota hai yani ki Administrator account usme aapko pc ka pura access mil jata hai wahi ek standerd account me daily use ke hisaab se access milta hai. Ab sabse limited access guest mode hota hai iska upyog tab hota hai jab aap apne pc kisi aur ke sath share karte hai. Hum aapko yahi kahenge ki aapka ek account to Administrator account banta hai uske alawa aapko daily use karne ke liye ek standerd account bhi banana chahiye. Computer me user account ke bare me to hum jaan gaye hai lekin ab hum user account kaise banate hai iske bare me puri process ko step by step janenge to chaliye shuru karte hai.
Computer me new user account kaise banaye in hindi
Computer me new user account banan bahut aasan hai hum aapko niche jitne bhi steps bata rahe hai aap sahi tarike se follow kare isse aap apne pc me aasani se new ya fir multiple user account bana sakte hai aap apne computer ko chalu kare aur niche bataye hue instructions ko achche se follow kare aapka kaam ho jayega.
STEP-:1 Sabse pahle aap apne computer home screen par aaye yaha par windows button press karke settings me jaye yaha par aapko control panel ka option milta hai ise select kare.
STEP-:2 Ab jab hum control panel me pahuch jate hai to yaha par aapko user account and family safety ka option find karna hai jaise hi yah vikalp mil jaye isme add or remove user account par click kare aap niche is image ko dekh sakte hai.
STEP-:3 User account me jane ke baad aapko kuch vikalp dikhenge isme se manage another account par click kare yaha se hum new user profile bana sakte hai.
STEP-:4 Iske baad aapko screen par jitne user account computer me honge wah show hote hai lekin hum to naya account bana rahe hai isliye yaha par Add a new user in pc par click kare.
STEP-:5 Last me aap apne account ka naam dale standerd user select kare aur fir create account par click kare aap chahe to yahi se is new user profile ke liye password bhi bana sakte hai. Ab aapka account ban kar taiyar ho jayega. Ab aap chahe to is account par apni pasand se wallpaper aur password laga sakte hai.
Finally dosto hamara account ban chuka hai aur hum ummid karte hai ki aap bhi apna new user account bana liye honge lekin fir bhi user account create karne me koi samsya ho rahi hai to aap hamari help le sakte hai aap agar koi bhi user account banate hai apne computer me to usko kabhi bhi delete kar sakte hai ya fir aap chahe to uska naam bhi change kar sakte hai aur iske bare me hum pahle jankari de chuke hai aap chahe to is post ko padh sakte hai.
Conclusion
Aaj hum sikh chuke hai ki computer me multiple user account kaise banate hai to dosto ab aapki bari hai chaliye aap bhi apna naya user account banane ki koshish kare. Hum ummid karte hai ki aaj aapko Computer me new user account kaise banaye iske bare me puri jankari ho gayi hogi humne aapko iske bare me sab kuch achche se bataya hai lekin fir bhi aapko kuch puchna hai ya fir aapko computer me dusra user account banane me koi samasya hoti hai to aap hamari help le sakte hai hum aapki sahayta jarur karenge. Ab aap hume bataye ki aapko computer me user account banane ke bare me yah jankari kaisi lagi hai aur agar post pasand aaya hai to jaldi se ise dosto ke sath share kare kya pata aapka koi dost iske bare me janna chahta ho to usko bhi computer me user account banane ki jankari mil jayegi. To dosto aaj ki post me itna hi tha hum jaldi new update ke sath milte hai tab tak ke liye good by aapka samay achcha rahe.
Tags:
Internet