Hello friends kya aapko pata hai ki computer me windows kya hai iska computer me kya kaam hota hai aur apne computer me windows ka naam change kaise kare agar aapko iske bare me koi bhi jankari nahi hai to ab pareshan hone ki jarurat nahi hai hum aapko is post me windows ki puri jankari dene wale hai kyoki ese bahut sare log hai jinke paas computer ya fir laptop hai par usme windows kya hoti hai aur yah hamare computer me kaise kaam karti hai iske bare me koi bhi jankari nahi hoti hai bahut sare log nahi jante hai ki windows computer ka ek operating system hota hai aur iske bina pc kaam nahi kar sakta hai aur isliye hum aapko is post ki madad se windows ke bare me sab kuch batana chahte hai taaki aap computer me windows ke bare me achche se jaan sake.
Jaisa ki aapko pata hoga ki hamare phone me bhi operating system hota hai jise hum android bolte hai thik vaise hi computer/laptop me bhi apna OS hota hai isme aapko IOS, Linux aur Windows dekhne ko milta hai par aaj hum sabke bare me baat nahi karne wale hai aaj to hum windows ke bare me baat karenge kyoki jyada tar log windows computer ka upyog karte hai hum bhi windows operating system wala computer upyog karte hai yah sabse pahla os bhi tha baad me dusre os aaye. Aapko windows me bahut sare version dekhne ko milte hai jisme Windows 7, XP, windows 8 aur abhi sabse jyada upyog me aane wala Windows 10 hai isliye agar aapke paas pc hai to aap usme Windows 10 ko daal sakte hai hum aage aane wali post me aapko iski bhi jankari denge. Chaliye ab hum Computer me windows ka naam change kaise karte hai iske bare me jaan lete hai.
Computer/Laptop me windows ka naam kaise change kare
Computer me windows ka name change karne ka matlab hai ki apne computer ka naam change karna ya fir apne computer ka naam rakhna hota hai aapko control panel me yah feature dekhne ko milta hai jiski madad se aap apne pc ka naya naam rakh sakte hai chaliye hum aapko iski puri process batate hai aap niche bataye hue steps follow kare. Yaad rahe sabhi instructions ko achche se follow karna hai uske baad aapke pc me windows ka name change ho jayega.
STEP-:1 Sabse pahle apne pc ko chalu karke windows ka button press kare yaha aapko search box me control panel search karna hai aur usko select kare.
STEP-:2 Ab aapko computer ke sabhi features and settings dekhne ko milte hai isme aap user accounts ka option find karna hai jo niche milega ise dhundh kar is par click kare.
STEP-:3 Next page aapke samne khulega isme aapko kuch option milte hai isme se ek vikalp aapko milega Change your account name aapko iske upar click karna hai.
STEP-:4 Last me aap apna naya naam dale aapko yaha par wah naam dalna hai jo computer windows ka naam rakhna chahte hai jaise hum apne computer ka naam pc wali rakh rahe hai name daal kar Change name par click karna hai.
Ho gaya hamara kaam dosto aap apne windows ka naam successfully change kar chuke hai lekin abhi aapne jo naya naam apne windows ke liye rakha hai wah show nahi hone wala hai iske liye aapko naam change karke ek kaam aur karna hoga ab aap apne computer restart jarur kare kyoki aapke windows ka naam tabhi update hoga jab aap apne pc ko restart karte hai. Kuch isi tarah se hum apne computer me windows ka naam change kar sakte hai bahut aasan process hai dosto par fir bhi koi pareshani hoti hai to comment karke aap hamari help le sakte hai kyoki aapki madad karke hume badi khushi hogi.
Computer me windows ka naame change karne ka fayda
Dosto dekha jaye to computer me windows ka naam change karne ka koi fayda nahi hai lekin aap pc ka naam isliye rakh sakte hai kyoki isse aapke pc ko ek identity mil jati hai aap apne computer apna naam likha hua dekhta hai to aasani se apne computer ko pehchan sakte hai aur isse aapke computer me koi pareshani nahi hoti hai isliye aap befikra hokar apne pc me windows ka naam badal sakte hai aur iski koi limit bhi nahi hoti hai aap apne windows ka naam jitni baar chahe utni baar change kar sakte hai. Aapko computer se related aur jankari chahiye to aap hamari dusri post bhi padh sakte hai.
Conclusion
Yah tha tarika apne pc me windows ka naam change karne ka to dosto hum ummid karte hai ki aap windows kya hai aur computer me windows ka naam kaise change karte hai iske bare me puri jankari ho gayi hogi. Ab aap apni pasand ka naam apne windows ke liye rakh sakte hai to chaliye dosto ise try karke dekhe aur hume bataye ki kya yah post aapke liye helpfull rahi hai aap sabhi steps achche se follow karte hai to aapko koi bhi pareshani nahi hone wali hai windows ka naam aasani se change ho jayega. Aapko post achcha laga hai to jaldi se ise apne dosto ke sath share kare. Hum aage bhi aapko computer ki jankari provide karte rahenge isliye aap hamare blog ko abhi subscribe kare taaki aapko new update ki jankari sabse pahle mil sake. Chaliye aaj ke liye itna hi hum jaldi new post ke sath fir milenge Good by aapka samay achcha rahe.
Tags:
Technology