- Computer ki screen ulti ho gayi kya kare.
- Computer hang ho raha hai sahi kaise kare.
- Computer me screenshots kaise lete hai.
Function keys ka kya upyog hota hai
F1 Function keys -: F1 key jo computer ki pahli function key hoti hai iska upyog kisi bhi program ka help and support center kholna hai to kiya jata hai. Hum ise ek example se samjhte hai jaise aap Ms Excel khol kar rakhe hai aur agar aapko iski jankari ya isse related help chahiye to F1 key ka upyog karke iska help center khol sakte hai isse aapki samsya thik ho jati hai is tarah se F1 Function key ko upyog me liya jata hai.
F2 Function key -: Yah ek esi key hai jiski madad se aap kisi bhi file ya fir folder ka rename kar sakte hai matlab aapko agar kisi folder ko naya naam dena hai to aapko folder select karke F2 key press karna hai isse aapke samne file/folder ko rename karne ka vikalp khul jayega is tarah se hum F2 Function key ka upyog kar sakte hai.
F3 Function keys -: Iski madad se aap windows search box ko khol sakte hai aapko start menu me jane ki jarurat nahi hoti hai aap F3 Function key ka upyog karke dire windows search box open kar sakte hai isse aapka samay bhi bachta hai aur koi bhi program aap jaldi se find kar sakte hai iske alawa f3 ka upyog kisi Web page ya fir kisi document me koi specific keyword ko find karne ke liye bhi kiya jata hai.
F4 Function key -: Ab baat karte hai F4 function key ke bare me to iska upyog Alt ke sath kiya jata hai. Aapke pc me koi bhi program khula hua hai to aapko Alt+F4 press karna hoga isse program close ho jata hai aur agar aap desktop par jakar Alt+F4 dabate hai to aapke computer me shutdown ka option aata hai.
F5 Function key - Yah ek esi key hai jiski sahayata se computer me jo windows ya program chalu hai use hum refresh karte hai F4 Function key ki madad se aap apne computer ya laptop ko bhi refresh kar sakte hai aur iske alawa kisi bhi web pages ko bhi f5 ki madad se refresh Kiya ja sakta hai.
F6 Function key -: F6 key ki madad se hum laptop aur computer me voice kam kar sakte hai aur agar aap browser me sidha url box me jana chahte hai to aap F6 function key ko press karke ja sakte hai.
F7 Function key -: F7 key ka upyog windows me nahi hota hai lekin aap Ms word aur Ms Excel me F7 function key ka upyog spelling check karne ke liye kar sakte hai aur iski madad se volume bhi badha sakte hai.
F8 Function key - Computer me windows installation ke samay iska upyog kiya jata hai aur agar aapko safe mode me jana hai to F8 Function key ki sahayta se ja sakte hai. Aapko iske liye windows boot time pe F8 press karke safe mode ko select karna hota hai.
F9 Function key - Ab agar hum F9 ke bare me baat kare to yah ek esi function key hai jiska windows me to koi upyog nahi hota hai lekin iska jyada upyog Shift aur Alt ke sath Ms Word me kiya jata hai. F9 Function keys ko Microsoft Outlook me Email bhejne ke liye bhi use karte hai.
F10 Function key -: Iska upyog hum kisi program ke menu ko kholne ke liye kar sakte hai F10 Function key ko press karne se menu select ho jata hai aur aap arrow ki madad se usko khol sakte hai iska upyog Ms word me bhi kar sakte hai shirf+F10 dabane se Ms word me shortcut ko open Kiya ja sakta hai.
F11 Function key -: F11 esi function key hai jiska upyog aap kisi bhi program ko full screen me chalane ya dekhne ke liye kar sakte hai.
F12 Function key -: Hamari last key hai F12 aur iska upyog agar aap laptop me karte hai to isse direct flight mode on ho jata hai aur agar ctrl+F12 ko ek sath press karte hai to isse pahle se saved file ko open Kiya ja sakta hai.
- Computer ko band aur chalu karne ka sahi tarika.
- Computer me night mode chalu kaise kare.
- Hard Disk ka partition kaise karte hai.
To dosto yah thi sabhi function keys aur aapko sabhi keys ka upyog kaise aur kis kaam me karna hota hai iske bare me samajh agya hoga. Hum aapko F1 se F12 tak sabhi function keys ke bare me bataye hai aur agar fir bhi kuch puchna bach gaya hai to comment karke puch sakte hai.
Conclusion
Function keys ke bare me aaj hum bahut kuch sikh gaye hai aaj humne jana ki function keys kya hoti hai aur inka upyog kaise hota hai. Hume puri ummid hai ki aapko iske bare me sab kuch samajh aaya hoga. Aapko abhi bhi function keys se related koi bhi question hai to uske bare me puch sakte hai hum aapki madad karenge. Hum aapko aage bhi ese hi computer ki jankari dene wale hai isliye jaldi se hamari website subscribe kare taaki latest update ki jankari aapko sabse pahle mil sake. Ab aap hume bataye ki function keys ke bare me aapko yah jankari kaisi lagi hai aur agar achchi lagi hai to dosto ke sath share jarur kare hum jaldi aapke liye computer se related kuch naya content lekar aate hai aapka din shubh ho.