Laptop/Computer me dongle kaise connect kare || puri jankari hindi me

Dosto last time humne aapko bataya tha ki computer me internet kaise chalaya jata hai jisme aapko Hotspot se internet chalane ke bare bataya lekin aaj hum Aapko Dongle ke bare me jankari dene wale hai jisme aapko apne computer ya laptop me dongle kaise connect karna hai aur dongle kya hota hai iska hum kya upyog kar sakte hai iske bare me baat karne wale hai vaise aapne kabhi na kabhi dongle ka naam jarur suna hoga aur hum me se bahut logo ne iska upyog bhi kiya hoga wahi ese bhi log hai jo iske bare me nahi jante honge aur isliye is article ki madad se aapko dongle ke bare me jankari dena chahte hai kyoki agar aap computer sikh rahe hai ya aap iske bare me aur jyada janna chahte hai to aapko dongle ki jankari to hona hi chahiye.
Computer ya laptop me dongle connect kaise kare
Dongle ka upyog Computer aur laptop me internet ka upyog karne ke liye kiya jata hai aapko yah dongle market se alag se buy karna hota hai kyoki yah aapko computer ke sath nahi milta hai. Dongle ki madad se aap ek sath 5 se jyada device ko connect karke usme internet ka upyog kar sakte hai. Aapko alag alag tarah ke dongles dekhne ki mil jate hai jisme kuch sirf usi network ka internet support karte hai jis company ka dongle hota hai to wahi kuch ese bhi dongle hote hai jisme aap kisi bhi sim card ko laga kar koi network use karke internet chala sakte hai aur yahi dongle sabse achche hote hai isliye jab bhi aap dongle lene jate hai to ese hi dongle lekar aaye jo sabhi network ko support karta ho. Chaliye dosto ise pc me connect karne se pahle hum Dongle kya hota hai iske bare me jaan lete hai.

Dongle kya hai kaise kaam karta hai ?

Dongle ek usb drive hoti hai aur iska size bahut chota hota hai isliye ise aap aasani se apne pocket me bhi rakh sakte hai Dongle ka upyog computer me internet chalane ke liye hota hai AAP isme sim card laga kar ya fir wifi connect karke aasani se internet chala sakte hai kyoki Wifi wala dongle bhi available hota hai aur wahi sim card wale dongle me aapko internet chalane ke liye sim card ki jarurat hoti hai. Aapko computer me dongle chalane ke liye ise apne Pc ke usb port me lagana hota hai aur fir isko computer me run karwana hota hai uske baad aap computer me internet ka upyog kar sakte hai.

Computer me dongle connect kaise kare ? Full guide hindi me

Dongle ki jankari to hum le chuke hai ab baat aati hai ki Apne computer ya laptop me dongle connect kaise kare to iska process bahut aasan hota hai jaisa ki hum aapko bata chuke hai ki sim card wale aur wifi wale dono tarah ke dongle dekhne ko milte hai to hum aapko in dono ki jankari dene wale hai. Aap bas step by step niche batayi hui process follow kare kyoki iske baad aapko dongle connect karne ki jankari ho jayegi.

Sim wala dongle Computer/Laptop me connect kaise kare

STEP-:1 Sabse pahle aap apne computer ke usb port me dongle ko lagaye isse computer ki screen par aapko ise run karne ka option dikhega to aap is par click karke computer me run kare.
connect dongle to usb drive
STEP-:2 Agar aapko ise run karne ka option nahi aata hai to aap my computer me jakar bhi manually ise run kar sakte hai.
Run dongle in pc
STEP-:3 Jab Dongle aapke computer me puri tarah se connect ho jata hai to aapko computer screen par Taskbar me iska icon dikh jata hai is par click kare aur connect ka option select kare kuch second me connected likha hua dikhega jiska matlab hai aap dongle Computer/ Laptop se connect ho gaya hai.
Dongle connected to pc successfully
Ab aap apne pc me internet chala sakte hai yah to sim card dongle ki baat ho gayi hai ab hum Wifi dongle ke bare me baat kare hai aur iska upyog kaise karna hai yah jante hai.

Wifi Dongle Laptop/Computer me connect kaise kare

Wifi dogle ka upyog karna bahut aasan hai aap ise laptop me aasani se connect kar sakte hai lekin computer me ise upyog karne ke liye aapko alag se wifi usb drive lena hoti hai jise aap computer me laga kar computer me bhi wifi ka upyog kar sakte hai.
  1. Sabse pahle wifi dongle on kare aur apne laptop ke wifi option me jakar dongle ke wifi network par click kare.
  2. Ab agar aapke dongle ke wifi par password lage hai to password daal kar connect par click kare isse aapka kaam ho jayega.
  3. Jaise hi dongle connect hota hai aap laptop me internet chalne lag jata hai aur agar computer me chalana hai to bas alag se ek wifi usb dirve lagana hoti hai baaki puri process yahi hoti hai.
Finally aapke Laptop/Conputer me Dongle connect ho gaya hai ab aap iski madad se apne pc me internet ka pura upyog kar sakte hai. Humne puri koshish kari hai ki aapko is post ki madad se dongle connect karna sikh jaye aur aapko dono tarah ke dongle ki jankari bhi share kar chuke hai lekin fir bhi kuch samajh nahi aata hai to aap hamari help le sakte hai hume aapki sahayta karke achcha lagega.

Computer/Laptop me dongle upyog karne ke fayde

Dosto dongle ke bahut sare fayde hote hai jisme sabse achchi baat yahi hai ki iski madad se aap apne internet ko secure kar sakte hai aur iska size bahut chota hota hai to kahi bhi lekar ja sakte hai aapko multiple tarah ke dongle dekhne ko mil jate hai to aap apni pasand ka dongle upyog kar sakte hai aur itna hi nahi aap ek sath 5 ya usse bhi jyada device ko connect kar sakte hai yani ki multiple computer me ek sath internet ka upyog kar sakte hai dosto dongle ka upyog karne ke itne sare fayde hai ummid hai aapko jaan kar achcha laga hoga.

Conclusion

To dosto aaj humne jana ki dongle kya hota hai aur Computer/Laptop me dongle connect kaise karte hai iske alawa bhi hum dongle ke bare me aapko bahut kuch bata chuke hai. Ab aap bhi apne dongle ko pc se connect kar sakte hai aapko bas hamare bataye hue steps sahi se follow karna hai lekin aapko dongle connect karne me koi pareshani hoti hai to aap hamari help le sakte hai. Dosto ab aap hume comment karke jarur bataye ki aapko yah jankari kaisi lagi hai aur post achchi lagi hai to ise apne dosto ke sath share karke aap hamari bhi madad kar sakte hai. Hum agli baar aapke liye aur achchi Computer/Laptop se related jankari lekar aane wale hai isliye aap isi tarah se hamari website se jude rahe aur new updates sabse pahle pane ke liye aap hamari website ko subscribe kar sakte hai isse aapko new post ki jankari sabse pahle mil jati hai to aaj ki post me Dongle ki jankari thi hum jaldi milenge tab tak ke liye good by aapka din achcha ho.

Post a Comment

Previous Post Next Post