Computer/Laptop me Date and Time change [Set] kaise kare.

Dosto kya aapko pata hai hume apne computer ya laptop me Language, date and time set karne ke bare me jankari hona bahut jaruri hai kyoki yah computer ki sabse sadharan jankari hai jiske bare me aapko pata hona bahut jaruri hai aur agar aapko iske bare me nahi pata hai to fir aapka computer aur laptop chalane ka koi matlab hi nahi nikalta hai. Kya aap bhi abhi computer ko chalana sikh rahe hai aur iske bare me jankari nahi hai to koi baat nahi is post me hum aapko puri detail se date uske sath time set karne ke bare me batane wale hai vaise bhi dekha jaye to yah bahut aasan hota hai agar ek baar aap khud se karte hai to aapko iski puri process yaad ho jati hai fir aap kisi bhi laptop ya computer me Aasani se date and time ka setup kar sakte hai.
Computer me date and time change kaise kare
Hamari website par bahut sare log computer ki jankari lene aate hai aur isliye hum yahi chahte hai ki aapko computer se related sabhi jankari mil sake aur usi me se ek date aur time ko set karne ke bare me bhi hai. Sochiye aapko agar computer chalana to aata hai hai lekin yah sab set karna nahi aata hai aur isi samay par koi aapko date and time set karne ke bare me puchta hai to aap kar nahi payenge kyoki aapko to pata hi nahi hoga ki Computer me Date and time kaise set kare aur isse samne wale vyakti ko yah lagega ki aapko computer ki koi bhi jankari nahi hai isliye iske bare me aapko jankari hona chahiye aur agar aapke computer me kabhi date aur time galat ho bhi jate hai to aap usko thik bhi karenge to iski setting kaise karna hai iske bare me jankari hona jaruri hai. To chaliye iski process ke bare me jante hai.

Computer me date and time set kaise kare ? Puri jankari

Dosto jaisa ki hum aapko upar bata chuke hai ki iski process bahut aasan hai hum aapko date and time set karne ke bare me ek sath batane batane wale hai inhe alag - alag batane ki koi jarurat nahi hone wali hai kyoki inki settings computer me ek hi jagah par hoti hai. Vaise to computer me multiple tarike se date aur time change Kiya ja sakta hai lekin hum aapko sabse aasan tarika bata rahe hai isliye Aap niche bataye hue kuch aasan se instructions follow kare aapka kaam ho jayega to chaliye process shuru karte hai.

STEP-:1 Aap apne computer ya laptop ki home screen par aaye yaha par taskbar me niche right side par date and time show ho raha hota hai to aapko is par click karna hai aap is image me dekh sakte hai.
click on date and time
STEP-:2 Next tab me aapke samne date and time change karne ka option hoga yaha par aapko time zone change karne ka vikalp bhi milta hai par hum to date aur time set karna chahte hai isliye first option par click kare.
click change date and time option
STEP-:3 Ab agla page aapke samne khulega isme aap Date aur time change kar sakte hai to aap sahi time aur sahi date ko set kare yaad rakhe aapka time zone 24 ghante wala hoga to iska dhyan rakhe.
computer me date and time set ho gaya hai
Jab aap puri process sahi se karte hai yani ki sahi date aur time set kar lete hai to aapko ok ke button par click karna hoga. Jaise hi ok par click karte hai home screen par pahuch jate hai aur yaha par aap dekhenge ki aapne jo bhi date aur time set kiya tha wo aapke pc me set ho gayi hai. isme koi pareshani nahi hoti hai aur lagbhag sabhi computer/laptop me date and time thik karne ka tarika ek jaisa hota hai hum ummid karte hai aapko ab iski puri jankari ho gayi hogi. Aapko yah post achcha laga hai to aap hamare dusre bhi post padh sakte hai jisme aapko computer se related aur adhik jankari ho jayegi.
Dosto date aur time set karne ke liye dusra tarika bhi hota hai jisme hum control panel me jakar apne computer me date and time change kar sakte hai par yah sabse Easy method hai isliye aap iske bare me jankari share ki hai aur hum ummid karte hai ki aapke liye yah post helpfull rahega aur aaj aapko kuch naya bhi sikhne ko mila hoga hum aapko next post me Computer me Language set karne ke bare me bhi batane wale hai isliye aap hamari website se isi tarah se jude rahe.

Conclusion 

To dosto yahi tarika hota hai jiski madad se aap apne kisi bhi computer ya fir laptop me aasani sahi date and time ko set kar sakte hai ab agar koi aapko iske bare me puchta bhi hai to aap usko bata sakte hai aur sikha bhi sakte hai. Computer me date and time set kaise kare iske bare me to hum jaan gaye hai lekin fir bhi aapko is process ko karne me koi samsya hoti hai to hume bataye taaki hum aapki help kar sake. Chaliye ab aapki bari hai aap bhi apne computer me date aur time ki settings me changes karke sahi kare isse aapko iski practice bhi ho jayegi. Ab aap is post par comment karke bataye post kaise laga hai, aur aapko hamare likhe hue articles achche lagte hai to inhe apne dosto ke sath share jarur kare isse hamari website se aur bhi log jud pate hai. Computer se related aur bhi achchi jankari pane ke liye website ko subscribe kare hum jaldi aapke liye computer related content lekar aate hai tab tak ke liye good by aapka samay achcha rahe.

Post a Comment

Previous Post Next Post