Hello friends ! To kaise hai aap log hum ummid karte hai ki achche honge. Hum aapke liye aaj fir se computer se related ek bahut kamal ki post lekar aaye hai aur agar aapke paas computer hai aur kya aap us par apni pasand ka wallpaper lagana chahte hai to aap aaj hum is post me iske bare me puri jankari dene wale hai. Computer user ko apne pc me wallpaper change karna aana chahiye kyoki aapko default me windows ke wallpaper hi diye jate hai par aap chahe to apni pasand ka koi bhi photo apne computer screen par laga sakte hai aur iski process bhi bahut aasan hoti hai fir aapke paas koi bhi windows computer ya fir laptop kyo na ho sabhi me wallpaper lagane ke liye ek hi tarah ki prakriya upyog hoti hai jo bahut aasan bhi hoti hai.
Dosto wallpaper lagane se pahle aapko yah bata dete hai ki aap apne pc ki home screen aur lock Screen dono par alag tarah ke wallpaper bhi laga sakte hai aur hum aapko is post me Computer me home screen/lock screen par wallpaper kaise lagaye in dono ke bare me jankari dene wale hai yaha par lock screen ka matlab hai jab hum apne computer ko chalu karte hai to Jo screen password dalne ke liye aati hai usko lock screen bolte hai aur jab hum password daal kar apne computer ko open karte hai to Jo screen hamare samne hoti hai usko Desktop ya fir home screen bolte hai. Chaliye aapko home aur lock screen ka fark to samajh aaya hoga ab hum point ki baat karte hai aur computer me wallpaper change karne ke bare me achche se jante hai.
Computer ki Home/Lock screen par wallpaper kaise lagate hai
Jaisa ki hum aapko bata chuke hai ki is post me aapko computer ki home screen aur lock screen dono par wallpaper paper lagane ke bare me jankari dene wale hai aap chahe to ek hi wallpaper dono jagah laga sakte hai ya fir alag bhi laga sakte hai. Aapko yah baat to pata hai ki computer ki sabhi settings control panel me rahti hai aur wallpaper set karne ki setting cpanel me dekhne ko milti hai. To chaliye dosto sabse pahle computer ki home screen par wallpaper kaise lagana hai iske bare me jaan lete hai fir lock screen par wallpaper set karne ke bare me bhi janenge.
Computer home screen par wallpaper set kaise kare ? Puri jankari
Computer ki home screen ko desktop bhi bolte hai to agar aapko apne computer ki home screen par apni pasand ka wallpaper lagana hai to niche diye hue steps follow kare aur agar kuch samajh nahi aata hai to aap hume bataye taki hum aapki sahayta kar sake.
STEP-:1 Aapko computer ke control panel me jana hai iske liye aap computer ki setting me chale jaye ya fir windows button press karke search bar me control panel search kare aapke samne control panel ka option aayega us par click kare.
STEP-:2 Yaha par bahut sare options hote hai lekin Wallpaper change karne ke liye Personalization ka option find kare jab aapko mil jaye to us par click kare isme computer ki display se related settings hoti hai.
STEP-:3 Aapki screen par kuch option show honge yaha aap background par click kare isse aapke samne kuch image aati hai aap isme se koi bhi image select kark apply kar sakte hai aur jo image apply karte hai wo aapke pc ki screen par lag jati hai.
STEP-:4 Ab agar aap apni pasand koi image apne desktop ki screen par lagana chahte hai to iske liye browse par click kare aur us image ko select kare jise aap apne home screen par lagana chahte hai image select karke apply kare aapka kaam ho jayega.
To dosto is tarah se aap aasani se apne computer ki home screen par wallpaper laga sakte hai chaliye ab lock screen par image lagane ke bare me bhi jaan lete hai.
Computer me lock screen par wallpaper kaise lagaye ! Full guide
Computer desktop par apni pasand ka wallpaper kaise set karte hai iske bare me hum jaan gaye hai lekin ab hum batane wale hai agar computer lock screen ka wallpaper change karna hai to kaise hoga iske liye bhi bahut aasan se instructions hai jinhe follow karke aasani se lock screen par wall paper laga sakte hai.
Step-:1 Iske liye hume sabse pahle apne computer ki home screen par right click karna hai isse ek popup khulega isme kuch options hote hai to aap yaha par Personalisation ka option select karke us par click kare.
Step-:2 Ab aapko fir se kuch options dekhne ko milte hai to yaha par aap Lock screen ka option dekhne ko milega yahi se lock screen ke liye wallpaper set kiya jata hai aap is image me dekh sakte hai.
Step-:3 Lock screen par click karne ke baad aapko kuch default images show hoti hai aap isme se koi bhi image choose kar sakte hai lekin aap apni pasand se koi image lagana chahte hai to browse par click karke apne pc me wah image select kare.
Step-:4 Jise lock screen par lagana hai aur apply kare image aapke computer ki lock screen par set ho jati hai aur is tarah se aap apni pasand ki koi bhi image apne computer lock screen par bhi laga sakte hai. Computer se related dusri post bhi jarur padhe.
To dosto is tarah se aap apne computer ki home screen aur lock screen par apni pasand ke alag alag wallpaper laga sakte hai agar aapko iske bare me aur bhi kuch puchna hai to comment karke puch sakte hai hum aapki puri help karenge. Ab aapki bari hai to chaliye apni pasand ke wallpaper apne computer screen par set kare.
Conclusion
To aaj hum sikh gaye hai ki apne computer ya laptop me wallpaper lagane ke bare ab aap apne hisaab se lock screen ya fir home screen kahi par bhi wallpaper laga sakte hai. Ab aap hume bataye ki computer ki home screen or lock screen par wallpaper kaise lagaye wali yah post kaisi lagi hai aur agar post pasand aayi to apne dosto ke sath jarur share kare hum aage bhi aapko computer ki jankari dete rahenge. Chaliye is post ki jankari yahi khatam hoti hai hum jaldi aapke liye new updates lekar aate hai tab tak ke liye good by aapka samay achcha rahe.
Tags:
Computer