Hello dosto kaise hai aap log asha karte hai achche honge. Kya aapka bhi Computer/Laptop hang hota hai agar ha to fir aaj hum aapko batane wale hai ki jab ko bhi computer hang hone lagta hai to usko thik kaise karna chahiye. Dosto jaise hum sab apna jyada se jyada kaam aaj kal laptop ya fir computer par hi karte hai jaise koi office ka kaam karta hai, School ka kaam karta hai ya fir koi online kaam karta hai to iske liye aap jis pc ka use karte hai uska smooth chalna jaruri hai nahi to aapko apna kaam karne me pareshani hoti kyoki agar aap computer bhi hang hota rehta hai to bahut baar esa bhi hota ki jab hum kaam karte hai aur pc atak jata hai to ese me hume use restart karna padhta hai jiski wajah se hum jo kaam kar rahe the wo bekar ho jata hai aur use fir se shuru karna hota hai.

Aaj ke samay online games bhi bahut jyada khele jate hai aur bahut sare log pc games bhi khelna pasand karte hai. Ab games ke graphics bahut jyada high hote hai aur is wajah se bhi hum computer me ko games bhi khelte hai to thodi der me ruk ruk kar chalne lagta hai. Uske thik karne ke liye hume fir se apne pc ko start karna hota hai aur yah chij hume bahut jyada pareshan karti hai. Ab agar aapko bhi esi hi kuch problem ho rahi hai apne computer to ab jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai kyoki hum aapko iske liye kuch behtar solution batane wale hai jo aapke bahut jyada kaam aane wale to chaliye shuru karte hai aur jante hai ki apne computer ko hang hone se kaise bachaye aur aap hamari dusri post bhi padh sakte hai..
Computer aur laptop hang kyo hota hai
Computer ya laptop hang hone ke piche bahut sari wajah ho sakti hai lekin hum aapko yaha par wahi reason batane wale hai jo jyada tar case me hote hai jinki wajah se pc hang hone lagta hai.
1.) Computer ke hang hone ka sabse bada kaaran uski hard disk hoti hai aur agar aapke computer Hard disk ka storage bhar gaya hai to fir aapka computer hang hona hi hai. Hum jab apne computer ko upyog karne ke liye chalu karte hai to wah hard disk ka upyog karta hai aur ese me hard disk bhar gayi hai khali nahi hai to aapko computer chalate samay hang hone wali problem hogi.
2.) Computer ki ram ka kam hona bhi computer ke hang hone ka kaaran ban jata hai kyoki kam ram wale pc me badi file dalne se computer file ko support nahi kar pata hai.
3.) Computer me kisi bhi software ke purane version chalane se bhi hang hone ki problem hoti hai isliye hamesha pc update rakhe.
4.) Jab hum computer par kisi kaam ko kar rahe hai aur ek time par bahut sare program run kar rahe hai yani ki multi tasking kar rahe hai to bhi humara pc hang hone lagta hai.
5.) Kisi waha se aapka hard drive kharab ho jata hai to bhi pc hang hone lagta hai.
Dosto yah kuch basic reason hote hai jiski wajah se computer hang hota hai iske alawa bhi kuch aur kaaran hote hai lekin kaaran koi bhi ho solution same hone wala to chalo ab jaan lete hai ki agar computer hang hota hai to usko thik kaise kare.
Computer/Laptop Hang hone par thik kaise kare
Agar aapka pc hang hota hai to hum aapko yaha par kuch achche tarike bata raha hai jiski sahayta se pc ke hang hone ki problem solve ho jayegi.
STEP-:1 Sabse pahle to aap apne computer ke start menu me jaye aur yaha par System Configuration par click Kare.
STEP-:2 Ab yaha par Startup par click kare aur Disable All par click kariye uske baad Apply option select karke ok par click kare.
STEP-:3 Ab yaha par Restart ka pucha jayega to aap restart ke option par click kare iske kuch der baad aapka pc fir se chalu ho jayega aur aap dekhenge ki ab aapke pc ki performance me sudhar hua hai.
Method-:2
Ab hum aapko dusra tarika bata rahe hai aap isko bhi try kar sakte hai isse aapke computer ki performance aur behtar ho sakti hai.
STEP-:1 Sabse pahle aap apne computer me start menu me jakar System Configuration search kare aur is par click kare ab yaha par general wale option me Load System Services wale option ko select kare.
STEP-:2 Iske baad aap upar services likha hoga yaha par click kare aur fir yaha niche Hide All Microsoft Services par tick kare aur Disable All par click kare uske baad apply par click karke last me Apply kare. Sab kuch sahi se karne ke baad ok kare.
STEP-:3 Ab yaha par aapko Restart karne ko kaha jayega to aap restart par click kare jab aapka computer restart hokar chalu hoga to iski performance bhi achchi hogi sath hi hang bhi nahi hoga.
Method-:3
Yah bhi ek tarika hai jiski madad se aap hang hone wale computer programs ko thik kar sakte hai.
STEP-:1 Iske liye aapko right click karke Start Task Manager par click karna hai aur agar task manager khul nahi Raha hai to fir Ctrl+Alt+Del ka button dabaye fir aap yaha Start Task Manager select kare agar direct Task Manager ko open karna chahte hai to Shift+Ctrl+ESC button press kare aur aapke samne Task Manager khul jayega. Ab yaha par aap Process option par click kare aur aapke samne wah sab show hoga jo abhi aapke computer me run ho raha hai.
STEP-:2 Ab agar aapka koi software ya browser kaam nahi kar raha hai to wah yaha par dikhai deta hai.
Aapko yaha par yah karna hai ki jo software ya browser kaam nahi kar raha hai us par right click karke end process par click kare.
Method-:4
Dosto agar aap chahte hai ki aapka computer kisi program ki wajah se hang nahi ho to fir aap niche bataye hue steps follow kar sakte hai.
STEP-:1 Sabse pahle aap apne pc me Task Manager ko open kare aur iske liye aap Shift+Ctrl+ESC dabaye isse yah vikalp khul jata hai. Yaha Aplication wale option pae click kare aur jis program ko aap run kar rahe hai wah sab yaha par show honge to jo software run ho raha hai us par right click kare iske baad Go To Process wale option par click kare.
STEP-:2 Iske baad aap yaha par jis file ko Go To Process kiya tha wah yaha par pahle se select hoga aap us par right click kare, aur fir Set Priority par click karke High select kare and last me Change Priority par click kare.
Yaha par high ka matlab hota hai aap jis software ke upar kaam karte hai uski priority jyada hogi jisse computer us program ki wajah se jyada hang nahi hoga. Baaki dusre program aap close kar sakte hai.
Dosto yahi tarike hai apne computer ko hang hone se bachane ke aur usko thik karne ke yah sab karne ke baad aapka pc hang hona band ho jayega.
Conclusion
Finally hum jaan gaye hai ki agar hamara laptop and computer hang ho raha hai to hume kya karna chahiye aur ab to aap bhi agar computer ya laptop me is tarah ki problem hoti hai to usko aasani se thik kar sakte hai aapko bas hamare bataye hue process ko follow karna hoga. Yah post aapko helpfull laga hai aur ab aapka laptop ya computer thik ho gaya hai to ise apne dosto ke sath share kare aur aage bhi ese hi computer se related post ki jankari padhne ke liye website ko subscribe kare taaki aapko lastest update ki jankari sabse pahle mil sake. Aaj ki post yahi par khatm karte hai nayi jankari ke sath jaldi milenge.