Aap log kaise hai mere pyare dosto hum aake liye fir se computer se related kuch naya lekar aaye hai. Aaj is post me hum computer/laptop par laga hua password kaise hataye iske bare me jankari dene wale hai. Pichli baar aapko password lagane ke bare me bataya tha lekin is baar hatane ke bare me batane wale hai kyoki bahut sare log apne pc me password laga kar bhul jate hai jabki unhe password computer par lagane ki koi jarurat nahi hoti hai aur password bhul jane ke baad hume apne pc ko reset karna hota hai jiski process bahut time leti hai aur hamara data bhi delete ho jata hai to agar aapko bhi apne computer par laga hua password hatana hai to aap bilkul sahi post padh rahe hai kyoki aapko iske bare me is post me detail se jankari milne wali hai.
Computer par password lagane ke bare me agar aapko jankari hai to usko hatana bhi bahut aasan lagne wala hai kyoki dono ki process ek jaisi hoti hai. Computer par password unhi logo ko laga kar rakhna chahiye jo apne data ko dusro se secure rakhna chahte hai ya fir jo apna password yaad rakh sakte hai kyoki agar aap password bhul gaye to aapko bahut pareshani hone wali hai. Hamare ek visiter ne is bare me sawaal pucha tha isliye hum aapke liye yah post lekar aaye hai taaki wah sabhi log jo apne computer ya laptop me lagae hue password ko hatana chahte hai usko aasani se hata sake. Dosto baate to hum bahut kar chuke hai ab computer par laga hua password kaise hataye iske bare me baat karke iski process dekh lete hai.
Computer/Laptop par laga hua password kaise hataye ! In hindi
Dosto aapke paas koi bhi computer ya fir laptop kyo na ho sabhi ke liye ek jaisa process hota hai. Dekha jaye to aapko security ke hisaab se password ka upyog karna chahiye par agar aap password bhul jate hai ya fir aapko apne pc me password nahi chahiye to fir computer se password remove kar sakte hai. To agar aapko apne computer par laga hua password hatana hai to bas niche bataye hue aasan se steps achche se follow kare ise aapke pc se password bhi hat jayega aur aap iske bare me achche se sikh bhi jayenge.
STEP-:1 Aapka sabse pahla kaam hai apne laptop/computer ko chalu kare aur agar computer par password laga hai to usko daal kar computer ko open kare. Ab aap windows button press kare aur yaha search box me Control Panel likh kar search kare.
STEP-:3 Control panel me jaye aur yaha par aapko User Accounts ka option dekhne ko milega isme chale jaye.
STEP-:4 Aapko kuch options milte hai yaha aapko Change your account type wale option par click karna hai.
STEP-:5 Aapne jitne bhi apne user account banaye honge wah dikhenge isme wo account chune jiska upyog aap kar rahe hai.
STEP-:6 User Account chunne ke baad aapko kuch options dekhne ko milenge to yaha se aap change the password par click kare.
STEP-:7 Now aapko 4 box dikhenge to first box me aapko apna current password dalna hai aur bache hue box ko khali rahne dena hai aur change password par click karna hai.
Ab humne koi bhi new paasword nahi dala tha humne box khali rakha tha isliye ab aapke laptop ya computer par koi password nahi rahega aur is tarah se aap Windows computer ya laptop ka password hata sakte hai. Yah password hatane ke liye sabse aasan tarika hai iske alawa bhi kuch tarike hote hai jiski madad se password ko hata sakte hai unke bare me hum aapko aane wali post me batayenge. Filhaal aap is mathod ko try karke apne laptop se password hata sakte hai aur kuch problem hogi to uske liye hum yaha par hai.
Dosto yahi kuch aasan se steps ko follow karke aap apne Windows ya fir kisi bhi company ke laptop/computer se password hata sakte hai. Ab aap bhi jaye aur isko try kare aur agar koi bhi vyakti apne computer ka password hatana chahta hai to use hamari website ke bare me bataye aur is post ko read karne ka bole. Yaha par hum aapko ek baat bata dete hai ki agar aapke computer par password laga hua hai aur aap usko bhul gaye hai yani ki aap apna computer khol nahi sakte hai kyoki aapko password nahi hai to iske liye bhi ek mathod hai jiski madad se aap apne locked computer ko bhi khol sakte hai par iske liye thoda time lagta hai aur aapko alag se kuch Process karna hota hai aur agar aapko computer ka paasword bhul jane ke baad paasword hatane ke bare me janna hai to aap comment karke hume bataye taki hum ek alag se post likh kar aapke liye lekar aaye
Conclusion
Aaj hum jaan gaye hai ki computer par laga hua password kaise hataya jata hai. Ab aapki bari hai agar aapko bhi apne pc ka password remove karna hai to aap hamare bataye hue tarike ko follow kar sakte hai aapko yah post kaisi lagi hai iske bare me comment jarur kare aur is post se aapko help mili hai to ise apne dosto ke sath share jarur kare. Aage aane wali post me aapko computer related kuch kamal ki jankari hum aapko dene wale hai isliye jaldi se hamari website ko subscribe kar lijiye isse aapko jab bhi hum computer se related koi new post likhte hai to uski jankari email par mil jayegi. Dosto aaj ki post me itna hi ummid hai aapko aaj ka article achcha laga hoga hum jaldi kuch naya lekar aayenge tab tak ke liye good by aapka din achcha rahe.
Tags:
Computer tricks