Computer me Gmail par Id/Account kaise banaye ! Aasan tarika.

Computer me gmail id ya account banane ka tarika bilkul vaisa hota hai jaisa ki aap apne phone me dekhte hai. To agar aapke paas pc nahi hai ese me aap isi process ko apne phone me karke bhi gmail id bana sakte hai lekin hum yaha par computer me gmail par email id ya account banane ke bare me jankari dene wale hai. To dosto yah to aap jante hi honge ki agar aap internet ka upyog karte hai to aapke paas gmail id ka hona bahut jaruri hai kyoki bina gmail id ya account ke aap internet ka adha bhi upyog nahi kar sakte hai. Vaise bhi aaj ke samay me aap koi bhi social media account banane ki jarurat hai ya fir aap koi 3rd party website ka upyog karna chahte hai to aapko uska upyog karne ke liye gmail id ki jarurat jarur hone wali hai.
Computer me gmail par email id kaise baaye
Hamare ek visitor ne iske bare me humse pucha tha ki Computer me gmail par id/account kaise banaye isliye hum yah post likh rahe hai taaki agar aapke mind me bhi yahi sawaal tha to aapko iska jawaab mil sake. Aaj ke time par agar aapke paas gmail id nahi hai to iska matlab aap samay me bahut piche chal rahe hai to agar aapko computer me apne liye gmail id banani hai to is post ko pura padhe. Computer me gmail id banane se pahle hum aapko short me gmail ke bare me jankari provide kar dete hai.

Gmail id kya hoti hai janiye hindi me

Dosto gmail id ek tarah ki email id hai jiski madad se aap kisi dusre vyakti ko mail bhej sakte hai lekin gmail id ka kaam sirf mail bhejna nahi hota hai yah aapki madad accounts banane ke liye bhi karta hai agar aap internet par kisi bhi platform par apne liye id ya account banane ki soch rahe hai to aapke paas gmail id hona jaruri hota hai ab yah to hum samajh gaye ki gmail hai aur kyo jaruri hai ab hum janenge ki computer me gmail par email id kaise banate hai to chaliye shuru karte hai.

Computer me Gmail par email id[Account] kaise banaye puri jankari

Computer ki madad se agar aap Gmail par email id banana chahte hai to iske liye aap internet aur ek phone number jo active hota hai chahiye hoga. Gmail id banane ke liye hum aapko niche instructions puri detail se bata rahe hai aap inhe step by step follow kare aapki computer me gmail id ya account ban kar ready ho jayegi.

STEP-:1 Sabse pahle aap apne computer me gmail ke login page ka url kisi browser me daal kar use open kare aap is image me gmail ka sign up url dekh sakte hai.
Google sign in page
STEP-:2 Computer me gmail ka sign in page open hone ke baad me ek page khul jayega yah google account me log in karne ka page hai yaha par aapko ek option dekhne ko milega Create Account aap is option par click kare fir ek popup box khulega isme For myself ko select kare jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.
click on create account
STEP-:3 Gmail account banane ke liye ek basic information ka form khul jayega to aapko yah form hume fill up karna hoga isme First Naam, Last Name (Surname) dalna hai Last name optional hota hai.
Add your first name in google account
STEP-:4 Ab agle page me Date of birth aur gender dalne ke liye bola jayega to aap apna sahi birthday dale kyoki aapko kabhi gmail id verify karna rahi to aap date of birth ki madad se kar sakte hai.
add birthday in gmail id
STEP-:5 Fir aapko apna ek gmail address choose karna hoga aap apne liye ek username banaye jo unique ho agar aapka username available hai to usko select karke Next par click kare.
Create gmail address in computer
STEP-:6 Aapko apni gmail id ke liye strong password banane ke liye bola jayega to aap apna password bana kar usko yaad rakhe kyoki password ki madad se apne gmail id ko open kar sakte hai.
create password for gmail
STEP-:7 Ab aapke samne ek aur page khulega isme aapko phone number dalna hai us par ek otp code aayega. Aap jo phone number dalte hai uske sms me check kare usme ek otp message hoga wah otp copy karke yaha par dale aur Verify par click kare.
Confirm your google account in computer
STEP-:8 Hamara kaam lagbhag pura ho gaya hai aur next par click karte hi ek page khul jayega yaha par Yes I'am in ka button dikhega is par click kare. Finally aapko google account ki privacy policy dikhai jayegi aapko I agree par click karna hai aur aap apne gmail id me enter ho jayenge aapke samne aapka Gmail account khul jayega.
To dekha dosto aap in aasan se steps ko follow karna hai aur computer me aapki gmail id ya account ban kar taiyar ho jayega. Ab aapko jaha par bhi ise upyog karna hai jaise ki agar aap google ki service ka upyog karna chahte hai to apni gmail id ki madad se kar sakte hai iske alawa kisi aur website jaha par gmail ki requirement hai waha par apni gmail id ka use kar sakte hai. Computer me gmail id banane ko lekar aapka koi sawaal hai to comment karke puch sakte hai.

Gmail id banane ke fayde ke bare me jane

Dosto yah baat to hum aapko pahle hi bata chuke hai ki agar internet par aap sabhi kaam karna chahte hai ya uska upyog karna hai to aapke paas gmail id hona bahut jaruri hai. Aap aaj ke samay me dekhe to AI ka time hai aur aap internet par kisi bhi tarah ka AI upyog karna chahte hai to iske liye aapke paas gmail id hona bahut jaruri hota hai. Aapko computer me gmail id banane ki puri jankari is post me mil jayegi to ab aap apne liye computer ka upyog karke gmail id bana sakte hai taaki aap internet aur google ki sabhi services ka fayda utha sake.

Conclusion

Aaj humne jana ki computer ka upyog karke apne liye gmail par email id/account kaise bana sakte hai. Dosto computer me gmail id banane ki process bahut aasan hai aapko upar bataye hue steps ko sahi se follow karna hai aur computer me aapki gmail id bana kar ready ho jati hai. Aapko fir bhi computer me gmail id ya account create karne me koi bhi samsya aati hai to aap hamari madad le sakte hai hum aapki help karke achcha lagega. To dosto ab chaliye aapki bari hai jaldi se apne liye ek gmail id bana lijiye. Hamara aaj ka post yahi par khatm hota hai hum jaldi aapke liye computer se related kuch naya content lekar aate hai tab tak aap hamari dusri post padhe aur computer ke bare me aur jyada sikhe hum jaldi milte hai aapka din achcha rahe.

Post a Comment

Previous Post Next Post