Hello Guys hum aapke liye aaj ek computer tool ki jankari lekar aaye hai. Aapne kabhi taskbar ka naam suna hai kya aap task bar ke bare me jante hai agar aapko
Taskbar ke bare me jankari hai to achchi baat hai lekin agar aap taskbar ke bare me nahi jante hai to koi baat nahi hai kyoki aaj hum aapko task bar ki puri jankari dene wale hai. Taskbar computer ka ek esa
feature hota hai jo aapka samay bachata hai kyoki yah shortcut ki tarah kaam karta hai isliye dosto is post ki madad se hum aapko
taskbar kya hota hai iska upyog kyo karte hai aur isko edit kaise karna hai iske bare me batane wale hai. Computer user ko task bar ke bare me pata hona bahut hai kyoki hum agar computer chalate hai to taskbar ek bahut
helpfull tool hota hai jo aapke bahut kaam aata hai.
New computer user me bahut sare log hai jinhe taskbar ki abhi tak koi jankari nahi hai isliye aapko bata dete hai ki Computer me taskbar ek esa feature hota hai jisko agar aap edit karna sikh jate hai to yaha par apni pasand ke program add kar sakte hai jo aapke liye shortcut ki tarah kaam karne wala hai vaise to yaha par pahle se kuch program added hota hai par aap apni pasand se bhi programs add kar sakte hai aap jitne bhi program real time me apne computer me run karte hai wo sab aapko taskbar me hi show hote hai dosto hum aapko taskbar ko edit karna to sikha denge lekin usse pahle aapko yah janna jaruri hai ki taskbar kya hota hai to chaliye sabse pahle isko samjh lete hai uske baad aage hum isko edit karne ki process bhi dekhenge.
Computer me Taskbar kya hota hai ? in hindi
Computer me bahut sare tools and features hote hai aur unhi me se ek Taskbar hota hai. Taskbar
computer screen par niche ki taraf ek bar hota hai isme bahut sare option hote hai jaise ki start menu hota hai jis par click karke hum computer me koi bhi
tool ya program khol sakte hai aur hum isme koi bhi program rakh sakte hai jise ek click me khol sakte hai yani ki yah ek shortcut ki tarah kaam karta hai. Aap ise ese samajh sakte hai hum computer me
multiple program run kar sakte hai aur jitne bhi program hamare computer me run ho rahe hote hai wo sab taskbar me dikhte hai. Task bar ke right side me
real time center hota hai jaha par hum date and time dekh sakte hai aur isi me aapko internet ka option dekhne ko milta hai. Taskbar ke bare me hum jaan gaye hai to chaliye ab hum jante hai ki taskbar ko edit kaise karte hai.
Computer/Laptop me taskbar edit kaise kare janiye
Hum aapko Taskbar ki settings aur isko edit karne ke bare me batane wale hai taskbar ke apne bahut sare features hote hai jisme sabse pahle to hum yah samjh lete hai ki taskbar koi bhi program pin ya fir add kaise karte hai taaki usko aasani se access karke samay bacha sake.
STEP-:1 Kisi bhi software ya program ko task bar me add karne ke liye aapko uske upar right click karna hota hai isse aapke samne ek popup khulega jisme bahut sare options hote hai.
STEP-:2 Ab is popup me aapko ek option milega Pin to taskbar ke naam se to aap iske upar click kare isse aapko program taskbar me pin ho jayega.
STEP-:3 Lekin aapko taskbar se koi program hatana hai to uske liye taskbar me pin program par right click kare.
STEP-:4 Yaha aapko Unpin from task bar ke option par click karna hai aapke taskbar se program remove ho jayega is tarah se aap taskbar me koi bhi program pin aur unpin kar sakte hai.
Taskbar ki settings and features ki jankari
Taskbar edit kaise karna hai iske bare me to hum jaan gaye hai lekin abhi aapko iski kuch settings ke bare me bata dete hai taaki aapko taskbar ki puri jankari ho sake.
Toolbar -: Taskbar me toolbar ek esa option hota hai jiska kaam notification area me koi bhi tool jaise ki koi folder ya document rakhne ka hota hai.
Cascade Windows -: Taskbar ka ek aur option hai jiska kaam desktop me open kiye hue sabhi windows ko cascade mode me auto adjust karna hota hai.
Show windows stacked -: yah bhi cascade ki tarah hota hai agar aapko desktop me khole hue windows ko stacked mode me adjust karna hai to is option ka upyog kar sakte hai.
Show windows side by side -: Agar aap computer me khole hue widows ko side by side adjust karna chahte hai to iska upyog kar sakte hai.
Task Manager -: Taskbar ki ek aur settings task manager hoti hai iski madad se aap dekh sakte hai ki aapke computer me kon kon se program run kar rahe hai.
Dosto is tarah se hum kisi bhi program ko taskbar me add kar sakte hai aur iski settings se related options ki jankari bhi aapko mil chuki hai. Aap chahe to hamari dusri post bhi padh sakte hai isse aapko computer ki aur adhik jankari ho jayegi.
Ab aap taskbar ko kaise upyog karna hai aur isme kya settings hoti hai iski details se jankari aapko mil chuki hai aur hum ummid karte hai ki aapke taskbar se related jitne bhi sawaal the sab clear ho gaye honge aur agar aap taskbar se related kuch aur puchna chahte hai to puch sakte hai hum aapki puri help karenge.
Conclusion
Aaj hum taskbar ke bare me sikh gaye hai aaj humne jana ki taskbar kya hota hai ? Taskbar edit kaise karte hai to dosto ab aap bhi task bar ka upyog karna sikh gaye hai to chaliye ab ise edit karke try jarur kare baaki koi pareshani hoti hai to aap hamari help le sakte hai aur agar aapko yah post helpfull lagti hai to aap achcha comment kare aur sabse jaruri kaam jo aapko karna hai ki agar post pasand aaya hai to jaldi se ise apne dosto ke sath share kare hum aapke liye aage bhi computer ki jankari lekar aate rahenge aap bhi hamare sath jude rahe taaki aap ek computer me puri tarah se expert ho jaye. Chaliye dosto aaj ka post yahi par khatm karte hai hum jaldi milenge new post ke sath tab tak ke liye good by aapka din achcha rahe.