Dosto aaj fir se hum aapke liye computer se related ek aur jankari lekar aaye hai. Aaj hum baat karne wale hai ki computer ki configuration kaise dekhte hai. Kya aapka computer achche se kaam nahi karta hai yani ki hang hota hai ya fir aapka pc purana ho gaya hai to aapko sabse pahle apne computer ki details pata karna hoti hai usse aapko pata chalta hai ki aapke computer me kitni ram hai konsa processor hai aur dusri bahut sari jankari milti hai aur aap apne computer ki jankari lekar us hisaab se computer ka upyog karte hai to usme jyada problems nahi hoti hai kyoki hume idea ho jata hai ki hamara computer kitna data store kar sakta hai aur windows ki jankari hone par aapko pata chal jata hai ki aapke pc me konse program support karte hai.
Aapko computer ki detail dekhna aana isliye bhi jaruri hai kyoki sochiye agar aap kisi dusre ka laptop ya fir computer kharidne ki soch rahe hai to aapko kaise pata chalega ki us computer me kya kuch hai aapko samne wala vyakti to kuch bhi bata deta hai lekin aap agar khud se computer ki configuration check kar lete hai to aapko puri jankari ho jati hai aap jo pc lene wale hai usme aapko kya milne wala hai aur isse aapko uski performance ka idea bhi ho jata hai. Nahi to aap bina configuration aur details ke pc lete hai to baad me aapko usko chalane me pareshani hoti hai kyoki aapko pata chalta hai ki aap jo pc kisi dusre se liye hai uski performance bahut bekar hai isliye yah post aapke liye bahut helpfull hone wali hai. To dosto ab hum is bare me bahut baat kar chuke hai lekin ab hum janenge ki kisi bhi computer ki configuration kaise check karte hai to chaliye jante hai.
Computer ki configuration/Details kaise check kare ya dekhe
Computer me configuration dekhne ke vaise to kai tarike hai aap chahe to Control panel ka upyog karke bhi apne computer ki configuration check kar sakte hai lekin hum aapke liye is post me sabse aasan tarika lekar aaye hai jiski madad se aap bahut aasani se kisi bhi computer ki details dekh sakte hai. To chaliye aapko iske bare me batate hai aap niche hamare bataye hue steps follow kare isse aap bahut aasani se apne hi nahi balki kisi bhi computer/laptop ki details ya configurations check kar sakte hai.
STEP-:1 Sabse pahle aap computer ko chalu kare aur apne computer ki home screen par aaye yaha par aapko bahut sare programs dikhenge to aapko My Pc ko find karna hai aap is image me dekh kar samjh sakte hai.
STEP-:2 Jab aap my pc dhundh lete hai to aapko iske upar right click karna hai isse aapke samne ek popup khulega isme aap property ke option par click kare.
STEP-:3 Ab aapke samne aapke computer se related sabhi details dikhai jati hai aap yaha par dekh kar aasani se pata kar sakte hai ki computer me kya kuch hai kyoki aapke pc ki puri configurations aapko is page par show ho jayegi.
Hum aapko batate hai aapko yaha par kya configuration dekhne ko milne wali hai yaani ki aapko apne pc se related kya jankari configuration me milti hai.
Windows edition -: isme aapke computer me konsa operating system ya fir windows ka konsa version hai iski jankari mil jayegi.
Processor -: Isme aapke pc me konsa processor run kar raha hai aur uska cpu konsa hai iske bare me pata lagta hai computer ke processor se hi pata chalta hai ki computer kitna fast hone wala hai.
Ram -: Aapke pc me kitni ram hai iski jankari mil jati hai taki hum us hisaab se apne pc me programs add kar sake taaki aage jakar aapka pc slow nahi ho.
Pen and Touch-: Isme aapko pata chal jata hai ki display touch wala hai yah nahi agar nahi hoga to not available likha hua hoga.
Computer name -: aap apne computer ka naam kya rakhe hue hai wah likha hua dikhega.
To dosto hum puri koshish kiye hai ki aapko computer ki configuration se related puri jankari de sake. Computer configuration dekhne ki steps bahut aasan hai aap achche se follow kare baaki hum aapki help ke liye available hai. Aap agar configuration ko check karne ka dusra tarika bhi janna chahte hai to hume bataye hum aapko agle update me uski jankari jarur denge.
Conclusion
Hum is tarah se sirf apne hi nahi balki kisi bhi computer ya Laptop ki details/configuration check kar sakte hai. Ab aapki bari hai chaliye jaldi se aap ise try kare aur apne computer ki details dekhe. Dosto agar aap is post ki madad se apne computer laptop ki configuration dekh chuke hai to aur aapko yah post helpfull lagta hai to aap ise apne dosto ke sath share kare isse aur bhi log hamari website par aate rahenge. Aapko computer ki detail ya fir configuration dekhne me ab koi bhi pareshani nahi hogi lekin fir bhi kisi wajah se aap apne computer ki configuration dekh nahi pate hai to aap hamari help le sakte hai. Dosto isi ke sath yah post yahi par khatm hota hai hum jaldi aapke liye kuch naya lekar aane wale hai isliye aap hamari website par bane rahe new post ke sath jaldi milte hai jab tak ke liye good by aapka samay achcha rahe.
Tags:
Technology