Computer [Laptop] me internet kaise chalaye ? Jankari in hindi.

Hello friends ! Aaj hum aapko batane wale hai ki computer ya laptop me internet kaise chalaye kyoki bina internet ke to hum apne computer ka pura upyog kabhi nahi kar sakte hai. Agar aap new computer user hai to aapko iski jankari hona chahiye kyoki hum computer me koi bhi kaam kare Jaise koi ticket book karna, office work karna school work ya fir koi shoping se related kaam karna hai to sabke liye internet ka upyog karna hota hai. Isliye hume apne computer me internet chalana aana chahiye. Mobile me internet to har koi chala leta hai par usi internet ka upyog karke aap use apne computer me bhi use kar sakte hai Computer me internet chalane ke bahut sare tarike hote hai Jisme mobile ka upyog karke internet chalana sabse aasan hota hai.
computer me internet kese chalaye
Hum me se bahut sare log hai jinke paas computer par unhone usme kabhi internet ka upyog hi nahi kiya kyoki computer me internet kaise chalana hai iske bare me unhe koi jakari nahi hoti hai. Hume apne ek visiter ne iske bare me pucha tha ki Computer me internet kaise chalaye iske bare me thodi detail se jankari dijiye aur aaj hum aapke liye iske upar pura article likh rahe hai taaki wo sabhi log jo computer me internet chalane ke bare me nahi jante hai aasani se sikh sake. Hum aap is post me multiple tarike bata rahe hai jiske madad se computer me internet access kiya ja sakta hai yah aapke upar hai ki aapko konsa tarika achcha lagta hai baaki hum aapko internet chalane ke jitne tarike batane wale hai wah sab kaam karte hai to chaliye baate bahut karli hai ab computer me internet chalane ki process dekh lete hai.

Laptop/Computer me internet kaise chalaye full guide in hindi

Jaisa ki hum aapko aaj computer me internet chalane ki kai sare tarike batane wale hai sabse pahle mobile method ke bare me janenge aapko to pata hi hoga ki mobile me hume hotspot ka option dekhne ko milta hai aur iska upyog karke aap apne computer me bhi internet chala sakte hai chaliye aapko iske bare me detail se batate hai.

Mobile ki madad se computer me internet kaise chalaye

Dosto Laptop me to wifi ka vikalp aata hai par agar aap computer me wifi hotspots ki madad se internet chalana chahte hai aapke paas Wi-Fi Adapter hona chahiye yah aapko market me mil jata hai aur agar aapke paas pahle se hai to bahut achchi baat hai iske alawa dhan rahe ki mobile me internet data available ho agar yah sab kuch hai to aap wifi hotspots ki madad se computer me internet chalane ke liye ready hai internet chalane ke liye aapko niche bataye hue steps follow karna hai.

STEP-:1 Sabse phale agar mobile me internet data band hai to usko chalu kare aur uske baad mobile ki main setting me chale jaye aur network and internet ka option find kare jab mil jaye to us par click kare.
computer me internet kese chalaye
STEP-:2 Jab aap network setting me jate hai to isme aapko Hotspot and Tethering ka vikalp milta hai is par click kare. Hume ise hi chalu karna hai taaki computer me internet chala sake.
hotspot kese on kare
STEP-:3 Hotspot par click karne ke baad isme aapko Wi-Fi Hotspot ka option milta hai is par click kare yah off rahta hai par jab aap is par click karte hai to yah on jata hai. Hotspot on hone ke baad ab hum ise computer se connect karke internet chala sakte hai.
hotspot on kare
Aapko bas apne computer ke network option par click karna hai isme wifi list me aapke mobile ka naam aayega jisme aapne hotspot chalu kiya tha us par click karke hotspot ka password daal kar connect kare.
Boom guys ! Jaise hi aapka pc wifi hotspot se connect hoga aapke computer me internet chalne lagega aap chahe to chala kar dekh sakte hai kisi bhi browsers me internet ko chala kar dekh sakte hai yah to thi mobile ki method jiski madad se computer me internet chalaya jata hai aur sabse jyada iska hi upyog kiya jata hai. Chaliye ab hum usb cable wali method ke bare me bhi jaan lete hai jo hamara computer me internet chalane ka dusra tarika hone wala hai.

USB Cable ki madad se computer me internet kaise chalaye

USB Cable ki madad se bhi hum aasani se computer me internet chala sakte hai iske liye hume bas usb cable ki madad se mobile aur computer ko ek dusre ke sath connect karna hota hai. USB cable ka upyog karke computer me internet kaise chalaye iske bare me aapko step by step puri jankari detail se dene ki koshish karte hai.

STEP-:1 Aapko same process karna hai sabse pahle mobile me internet chalu karna hai aur uske baad mobile ki main settings me jana hai aap niche image me dekh sakte hai.
USB Cable computer me kese lagaye
STEP-:2 Aapko yaha par Internet ya fir network and access naam se option milta hai alag mobile me yah option alag naam se ho sakta hai to jab yah option mil jata hai to is par click kare.
USB Cable kese connect kare computer me
STEP-:3 Yaha par aapko fir se Hotspot & Tethering wale option par click karna hai lekin is baar usb tethering par click karke ise on karna hai kyoki hum hotspot se nahi usb cable ki madad se computer me internet chalane wale hai.
hotspot kese on kare
Dosto ab agar aap computer me internet chalate hai to wah chalne lagega yaha ek baat yaad rakhe jab aap usb tethering chalu karte hai usme internet access allow karna jaruri hai agar aap sab kuch sahi se karte hai to aapke computer ya laptop me internet chalne lagega. Fir bhi agar kuch samajh nahi aaya hai to comment karke puch sakte hai hum aapki help karenge.

Aap hamari dusri post bhi padh sakte hai -:

Computer me LAN Cable ka upyog karke internet kaise chalaye

Dosto aap mobile ke alawa LAN Cable ki sahayta se apne computer me internet chala sakte hai iske liye aap niche diye hue process ko follow kare.

  1. Sabse pahle aapko Lan Cable me ek End Modem ya fir Router ke Network port ko connect karna hoga.
  2. Fir uske baad aapko LAN Cable ke dusre End ko computer ke Network port me connect karna hoga.
  3. Computer me yah Port CPU ke Back Side me bana hoga jaha par LAN Cable ko Insert karna hai.
  4. Aapko apne computer me control panel me jakar Network & Sharing Center par click karna hai.
  5. Ab aapko setup a new connection Or Network par click karke ek naya connection setup karna hoga.
  6. New Internet Connection Set up karne ke baad aap apne computer me LAN Cable ke jariye net chala sakte hai.
Dosto yahi kuch tarike hai jiski madad se aap computer me internet chala sakte hai aur mobile wala tarika sabse aasan hai to hum aapko wahi suggest karenge hum ummid karte hai aapko sab kuch samajh aaya hoga.

Conclusion

Aaj hum sikh gaye hai ki Laptop ya Computer me internet kaise chalaye is post me aapko multiple tarike bataye hai jo aapko samajh bhi aagye honge. Aapko kahi par kuch samajh nahi aaya hai ya fir computer me internet chalane me koi problem ho ti hai to uski jankari hume de hum aapki puri sahayta karenge. Post achcha laga hai to jaldi se ise apne dosto ke sath share kare hum aage bhi aapke liye ese computer se related aur achche post lekar aate rahenge. Aap chahe to lastest update sabse pahle pane ke liye hamari website ko subscribe kar sakte hai aaj ka hamara post yahi par khatm hota hai lekin hum jaldi kuch naye content ke sath aapse fir milenge tab tak ke liye good by.

Post a Comment

Previous Post Next Post