Computer [Laptop] me mobile se Data Transfer kaise kare ! Puri jankari

Dosto computer me aapko data transfer ke bare jankari hona bahut jaruri hai hello friends kaise hai aap log kya aap Jante hai ki Computer me mobile se data transfer kaise kare agar nahi to koi baat nahi kyoki aaj is post me hum aapko iske bare me puri jankari dene wale hai. Ab mobile se computer me data transfer karne ke liye bahut sare options ho sakte hai jisme aap 3rd party app ka upyog kar sakte hai ya fir usb cable ki madad se bhi data transfer aasani se kar sakte hai. Hum aapko is post me ek aur tarika hai jisme bluetooth ka upyog karke data transfer karte hai uske bare me batane wale hai kyoki aapko agar mobile se computer me data transfer karna hai to sabhi method ki jankari hona chahiye isliye hum aapko Aaj bluetooth wala tarika bata rahe hai.
Computer se mobile me data transfer kaise kare
Ab aapke mind me yah sawaal hoga ki bluetooth wali method ki jankari kyo hona chahiye to iski jankari isliye hona chahiye agar aapke paas usb cable nahi hai aur aapko data ko transfer karna hai to us waqt aap kaise karenge to ese samay bluetooth ka upyog kar sakte hai computer me bluetooth se data transfer karne me bas ek problem hoti hai ki is method me time lagta hai yani ki bluetooth se data transfer karne ki speed slow hoti hai par kabhi jarurat padi to yah bhi ek achcha option ho sakte hai isliye iske bare me janna jaruri hai. Aap agar Mobile se computer me data transfer karne ke liye koi aur bhi tarika janna chahte hai to hume message kare hum aapko uska bhi update new post ki madad se jarur denge. Chaliye filhal hum data transfer ke liye bluetooth ka upyog kaise karte hai iske bare me jaan lete hai.

Computer/Laptop me mobile se data transfer kaise kare aasan tarika

Computer me agar aap apne mobile se data dalna chahte hai to aapko yah bata dete hai ki aapke mobile me bluetooth support hona chahiye aur aapke paas laptop hai to aapko usme bluetooth ka option mil jata hai baaki aap apne computer me bluetooth driver daal sakte hai isse bhi aapka kaam ho jayega. Chaliye dosto agar aap data transfer karna chahte hai to niche bataye hue steps achche se follow kare isse aasani se aapka data mobile se computer me transfer ho jayega.

STEP-:1 Sabse pahle hume apne mobile aur pc ka bluetooth pair karna hota hai aur mobile ka bluetooth on karna hota hai. uske baad aap computer ke taskbar me bluetooth ka icon dekh sakte hai iske upar click karke receive file par click kare.
Receive file ko select kare
STEP-:2 Ab hum apne mobile se data pc me transfer karna chahte hai to aap mobile me us file ko select kare jise pc me send karna hai select karke share with bluetooth par click kare aap is image me dekh kar aasani se samajh sakte hai.
share with bluetooth
STEP-:3 Jaise hi aap mobile me bluetooth par click karte hai to aapke samne list aayegi jisme aapke paas jitne device jinka bluetooth on hai wo show honge to aap apne computer ka device choose karke us par click kare.
choose your blutooth device
STEP-:4 Ab aap dekhenge ki aapke computer par jab bluetooth ke icon par click Kiya tha to usme ek popup khula tha aur waha par aapko file transfer hone ki process dikhai jati hai isme thoda time lagega aur kuch der me aapki file mobile se computer me transfer ho jati hai.
click on finish button
Jab file transfer ho rahi hoti hai to aapko mobile me bluetooth band nahi karna hai aur apne pc me bluetooth windows ko close nahi karna hai agar esa karte hai to transfer fail ho jata hai aur ek baat aur jab aapki file computer ya laptop me transfer ho jati hai to aapko finish ka button dikhega is par click jarur kare tabhi aapka transfer successfully complete hota hai yaad rahe bluetooth transfer slow jarur hota hai par hamesha kaam karta hai. To dosto hamara kaam ho gaya hai congratulations ! Aap Computer se mobile me data transfer karna sikh gaye hai aapko bas yahi aasan process follow karna hai aur hum ummid karte hai ki aapko isme koi pareshani nahi hui hogi lekin fir bhi aapka koi sawaal hai to aap hume puch sakte hai hum aapki puri sahayta karenge.

Mobile se Computer me data transfer karne ke fayde

Hum aapko data transfer ke kuch fayde batane wale hai jaise ki aapko storage ko lekar problem thik ho sakti hai kyoki aaj kal phone me aapko memory card ka option nahi milte hai isliye agar phone me storage bhar raha hai to aap usko pc me transfer kar sakte hai isse aap apne phone me naya data store kar sakte hai. Iske alawa agar aapke paas usb caple nahi hai ya ghum gayi hai to multiple tarike hai jisse data transfer hota hai usme se bluetooth wala bhi ek method hai aur yah aapko hum is post me bata chuke hai. Aapke pc me agar hard disk ka storage jyada hai to aap apne phone ka pura data wo bhi multiple times store karke rakh sakte hai.

Conclusion

Aaj hum jaan gaye hai ki computer me data transfer kaise karte hai wo bhi apne mobile se aur hume puri ummid hai ki aapko iski achche se jankari ho gayi hogi. Computer me data transfer se related aapka koi bhi sawaal hai ya fir aapko koi pareshani hoti hai data ko transfer karne me to aap hume bataye taki hum aapki help kar sake. Dosto aap agar is post ki madad se bluetooth se successfully data transfer kar chuke hai aur aapko sab kuch samajh aaye to aap comment karke bataye aapko yah post helpfull laga hai kyoki aapki achchi comments hume aur content likhne ke liye prerit karti hai. Chaliye filhal is post me itna hi tha hum jaldi aapke liye kuch naya lekar aane wale hai isliye aap hamare sath bane rahe new post ke sath fir milte hai tab tak ke liye good by aapka din achcha rahe.

Post a Comment

Previous Post Next Post