Dosto kaise hai aap log hum ummid karte hai ki aap sab bahut achche honge. Aaj hum aapke liye computer se related ek aur kamaal ki jankari lekar aaye hai aur aaj is post me jo jankari hum aapko dene wale hai wo aapke bahut kaam aane wali hai to chaliye sabse pahle to hum aapko bata dete hai ki aaj hum kya sikhne wale hai. Aaj hum Hard disk partition karne ki jankari aapko dene wale hai yani ki hard disk ko alag alag bhago me kaise bata jata hai iske bare me aaj hum is post me baat karne wale hai.
Pyare dosto aaj ke samay me hume laptop ya computer ke bare me basic jankari hona chahiye kyoki yah hamare profession ke liye bhi bahut jaruri hota hai. Ab hard disk ka partition karna bhi computer ki ek basic jankari hoti hai. Ab agar aap bhi ek computer user hai aur kaafi samay se computer ka upyog kar rahe hai to aapko hard disk ke partition ke bare me jankari hona chahiye aur agar aapko iske bare me abhi tak nahi pata tha to koi baat nahi aaj hum aapko iske bare sab kuch detail se batane wale hai aur is post me hum disk partition karne ki puri process bhi aapko sikhane wale hai.
Hard Disk Partition kya hai iski jankari
Dosto sabse pahle aapko short me yah samjha dete hai ki hard disk kya hota hai aur hard disk ko hhd (hard disk Drive) ke naam se bhi jana jata hai aur iska kaam data ko store karke rakhna hota hai. Hum ise ek tarah ka storage device bhi kah sakte hai. Ab iske partition ke bare me baat karte hai. Dosto partition ka matlab hota hai alag alag bhago me vibhajit karna yani ki hamare pc ki hard disk me keval ek drive hoti hai aur usme hamara sabhi data bhi hota hai par hum Hard disk ka partition karke apne data ko kai jagah par store kar sakte hai aur isse hume apne pc me data ko find karne me aasani bhi rahti hai to chaliye ab hard disk partition kaise kare hai iske bare me jaan lete hai.
Hard Disk Drive (hhd) ka partition kaise kare
Dosto ab bari aati hai sabse jaruri baat jaane ki aur samjhne ki hard disk ka partition kaise hota hai to hum iski puri process niche bata chuke hai aapko ise step by step achche se follow karna hai aur kuch samjh nahi aata hai to aap uske bare me humse puch sakte hai.
STEP-:1 apne computer ki home screen par aapko This pc vale folder par right click karna isse popup khulega isme manage ke option ka chunav kare.
STEP-:2 Aapke samne ek new windows khulega isme aap disk management par click karke us drive ko chune jiska aapko partition karna hai aur uske baad ek tab khulega yaha par aapko shrink volume par click karna hai.
STEP-:3 Next tab me aapko drive size select karne ke liye bola jayega yaani jis drive ka partition karke aap jo new drive bana rahe hai uska size kitna hoga yah aapko set karna hai.
Note -: Size mb ke hisaab se hogi jaise agar aapko 1 gb ki drive banani hai to aapko 1024 likhna hoga kyoki 1 gb = 1024 mb hota hai aur wahi agar 10 gb ki drive banani hai to 10240 likhna hoga hum ummid karte hai ki aapko yah baat achche se samajh aayi hogi.
STEP-:4 Aapka drive ban kar taiyar ho gaya hai aur iska naam filhal unallocated hoga aap ise baad me kabhi bhi change kar sakte hai filhaal drive ko public karne ke liye us par right click kare aur new simple volume ko select kare.
STEP-:5 Iske baad aapke samne kuch page khulte rahenge to aapko yaha par next-next par click karna hai aur last page me finish par click kare.
Ab hamara kaam pura ho gaya hai ab aap chahe to apne pc me jakar dekh sakte hai ki hard disk ka partition hokar new drive create ho gayi hai aur apne pc me jakar dekh sakte hai ki aapki new drive ban kar ready hai.
Dosto hard disk drive partition kaise karte hai iske bare me to hum jaan chuke hai ab aapke mind me ek sawaal jarur hoga ki hhd partition kyo kare isse hume kya fayda hoga ya fir iska koi nuksan to nahi to chaliye aapko hum yah sab kuch bhi clear kar dete hai.
Hard disk partition karne ke fayde
Sabse pahle to yah jaan lijiye ki hard disk ka partition karne ka koi bhi nuksaan nahi hota hai aur yah hamari marzi ke upar hai ki hum Hard disk ka partition kare ya fir nahi. Ab agar hum iske fayde ki baat kare to aap hi soch kar dekhe ki agar pc me sirf ek hi drive hai aur usme aapka sara data hai ab agar drive me kuch problem hoti hai to use reset karna hoga aur isse aapka data jo us drive me rakha hai wo bhi delete ho jayega aur wahi agar aap hard disk ka partition karke data multiple drive me rakhte to aapke paas backup me data dusri drive me bhi hota aur yahi hard disk partition karne ka sabse achcha advantage hai.
Hamari dusri post bhi padhe -:
Conclusion
Hamne aaj fir se computer ke bare me kuch naya sikha aur jana ki harddisk partition kaise kar sakte hai aur hum yahi ummid karte hai ki aapko sab kuch achche se samajh aaya hoga aur agar hard disk partition karne me kuch problem hoti hai to aap hume jarur bataye taaki hum aapki help karke aapko achche se samjha sake. Aapko hamari yah post agar achchi lagi hai aur isse aapki help hui hai to aap ise apne dosto ke sath jarur share kar sakte hai taaki hamari post aur bhi logo tak pahuch sake. Hum aapko daily ese hi computer se related post dete rahte hai isliye aap hamari website ko subscribe kar sakte hai isse aapko computer se sambandhit jankari sabse pahle mil jayegi aaj ki post me itna hi jaldi nayi jankari ke sath milte hai.
Tags:
Technology