Hello dosto ! Kaise hai aap log hume puri ummid hai ki aap sab bahut achche honge. Aap to jante hi hai ki aaj kal ka samay social media ka hai sabhi log social media pa apna bahut sara time bitate hai aur social media par sabse jyada upyog hona wala instagram hota hai jise bahut sare log daily use karte hai aap bhi iska upyog karte honge par kya aapko pata hai ki computer me instagram kaise chalaye. Agar pata hai to bahut achchi baat hai lekin aapko nahi pata hai to aaj hum aapko compter me instagram chalane ki puri process batane wale hai ab agar aapko bhi apne computer ya fir laptop me instagram chalane ke bare me janna hai to aap post ko pura padhe kyo tabhi aapko iske bare me puri jankari hogi.
Aap apne mobile me daily Instagram ka upyog karte honge lekin agar aap office me koi kaam karte hai to har waqt to phone apne hath me nahi rakh sakte hai naa aur agar ese me aapko instagram chalane ka man hua to aap kaise chala sakte hai to iske liye aap apne Laptop/Computer me instagram ko log in kar sakte hai yah bilkul esa hi hota hai jaise apne phone me hota hai aur iska ek fayda to aapko yah ho jayega ki aap badi display par insta ka upyog kar sakte hai kyoki aapke pc ki screen size jyada hogi. Ab ese me aapke hath me phone bhi nahi rahega aur aap ek alag se tab khol kar instagram bhi chala sakte hai. To dosto agar aapko janna hai ki computer me instagram kaise chalaye to iske liye aap is post ko pura padhe niche hum iski puri jankari de rahe hai aur aapka computer me insta chalana helpfull bhi rahega.
- Computer ki ulti screen thik kaise kare.
- Computer band aur chalu kaise kare.
- Computer me check box mark kaise hataye.
Computer me instagram kaise chalaye puri jankari
Jaisa ki hum aapko bata chuke hai ki computer me bhi instagram chalane ka apna fayda hai aur jab aap computer me instgram chalana band kar dete hai to apne account ko log out bhi kar sakte hai iske bare me bhi is post me bataya gaya hai to agar aapko bhi apne pc me ise chalana hai to iske liye humne niche steps bataye hai unhe follow kare aapka kaam ho jayega and aap computer me instgram chalana bhi sikh jayenge.
STEP-:1 Sabse pahle aapko apne computer me kisi browser ko open karna hoga hum yaha par chrome ka upyog kar rahe hai. Ab aap yaha par instagram ki website ka url daale aur usko open kare.
STEP-:2 Ab aapke samne login page hoga to yaha par aapko apni instagram ki I'd aur password dalna hai dhayan rahe ki aap sahi user id aur sahi password dale agar galat dalte hai to aapka account nahi khulega last me aap log in par click kare.
STEP-:3 Ab aap dekhenge to aapke samne Insta account khul gaya hai aur ab aap apne computer me instagram ka upyog kar sakte hai. Aap is image me dekh sakte hai ki upar logo ki lagayi hue story show ho rahi hai aapko jo bhi story dekhna hai us par click karke dekh sakte hai.
STEP-:4 Agar aapko reels dekhna hai messages dekhna hai ya fir dusri chije jaise likes ya kisi ko search karna hai to yah sab aapko left side me dekhne ko milega aur apni profile par jana hai to iske liye aapko apne image par click karna hai jis tarah se image me dikhaya gaya hai isse aapko profile open ho jayegi.
STEP-:5 Ab agar aap story lagana chahte hai to apne profile picture par click karke laga sakte hai aur wahi agar koi post upload karna hai to uske liye aapko plus ke icon par click karna hai aur wah photo ya video chun lena hai jise aap upload karna chahte hai.
STEP-:6 Aapko agar apna instagram account computer se log out karna hai to uska bhi aasan process hai aapko left side me niche settings ka icon dikhega apne instagram home par is par click karke last option log out par click kare aapka kaam ho jayega.
Dosto is tarah se aap aasani se apne computer me instagram chala sakte hai yaha par ek baat yaad rakhe ki agar aap apni pasand ka kuch apne insta account par computer se upload karna chahte hai to wah data aapke computer me hona chahiye.
App hamari dusri post bhi padhe :
Baaki aapko reels dekhne option wagera sab kuch yahi mil jayega. Aapko computer me intragram chalane me koi pareshani hoti hai ya fir aap kisi feature ke bare me janna chahte hai to humse puch sakte hai hum aapki help karenge.
Conclusion
To dosto kaisa laga aapko computer me intagram chalane ke bare me jaan kar hume puri ummid hai ki aapko yah post pasand aayi hogi. Is post se aapko help mili hai ya fir aapko hamari post achchi lagi to aap ise apne dosto ke sath share jarur kare aur apna comment kare. Computer me instagram chalane ki ab aapki bari hai jaldi se ise try kare aur agar kuch pareshani hoti hai to uske liye hum available hai. Filhaal aaj ka post yahi tak tha hum jaldi aapke liye computer se related kuch naya lekar aane wale hai tab tak wait kare aur computer se related aapko kuch janna hai to aap hume bataye hum aapke bataye hue topic par article jarur likhenge. Aap chahe to new update ki jankari pane ke liye website ko subscribe kare Good by dosto aapka din achcha rahe.
Tags:
Internet