Computer me data copy/paste kaise kare ! Jankari hindi me

Dosto hamara kaam hai aapko computer ke bare me jyada se jyada jankari dena aur isi ke chalte aaj fir se hum aapke liye computer se related ek post lekar aaye hai. Ab agar aap computer ke new user hai to yah post aapke liye bahut jyada upyogi hone wali hai kyoki aaj hum apne laptop ya computer me copy/paste kaise kare iske bare me janne wale hai. Agar aap abhi computer chalane ke bare me sikh rahe hai to aapko copy paste bare me to pata hona chahiye kyoki computer me copy paste karna yah ek basic jankari hai par bahut jyada upyog me aati hai isliye iske bare me pata hona jaruri hai. Aaj hum aapko computer me copy aur paste karne ke bare me puri detail se batane wale hai isliye post ko last tak jarur padhe.
Computer me copy paste kaise kare
Dosto computer me copy paste karna bahut easy hota hai par bahut sare log hai jo iske bare me nahi jante hai isliye hum aapko iski jankari de rahe hai taaki jinhe abhi tak computer me copy paste karna nahi aata hai wo bhi sikh sake. Computer me copy paste ke bare me ek baat jaan lijiye ki agar aap chahe to internet par copy paste kar sakte hai jaise ki aapko internet par koi content achcha laga to aap usko copy karke apne notepad me paste kar sakte hai isse aapka content computer me store ho jata hai aur aap jab chahe tab usko offline bhi read kar sakte hai baaki aap apne computer ya laptop me to kisi bhi tarah ki file/folder ya koi bhi data copy paste karke idhar udhar kisi bhi folder ya drive me daal sakte hai.

Computer [Laptop] me copy/paste kaise kare

Ab hum. Janenge computer me copy paste karne ke bare me par usse pahle aapko yah bata dete hai ki pc bahut sare tarike hai jiski madad se aap computer me copy aur paste kar sakte hai. Hum aapko is post me 2 method batane wale hai aur dono bahut aasan hone wale hai jiski madad se aap aasani se computer me koi bhi data copy aur paste kar sakte hai to chaliye baat bahut ho gayi hai to agar aapko computer me copy paste karna hai to uske liye niche bataye hue steps follow kare aur agar kuch samajh nahi aata hai to hamari help le sakte hai.

STEP-:1 Sabse pahle apne computer ko chalu kare aur us file ya folder me chale jaye jise aapko copy karna hai hum yaha par ek image ko copy karke dusre folder me paste kar rahe hai.
copy data from folder
STEP-:2 Ab jis data ko aap copy paste karna chahte hai us par right click kare isse ek popup khulega isme aapko bahut sare vikalp dikhenge to aap isme se copy ka option chune isse apka data copy ho jayega.
select copy option
STEP-:3 Ab aap us folder me jana hai jaha par aap copy kiya hua data paste karna chahte hai. Jaise hi aap us folder me chale jate hai to yaha par right click kare isse aapke samne fir se popup khulega par is baar aap paste par click kare.
click on paste option
Dosto ab aap dekhenge jo data aap copy kiye the wo paste ho jayega jis File/folder me aapne usko paste kiya hai is tarah se aap aasani se copy paste kar sakte hai. Ab jaisa ki humne aapko bataya tha hum 2 method janenge to ab second method bhi dekh lete hai.

Computer me Copy/Paste karne ke liye shortcut keys

Jaisa ki humne kaha tha hum aapko 2 tarike batane wale hai aur is method me aapko copy paste karne ke liye shortcut keys ka upyog kaise karte hai iske bare me batane wale hai kyoki Computer me copy paste karne ke liye shortcut keys bhi available hai jiski madad se bahut aasani se hum copy aur paste kar sakte hai to iske liye aap niche bataye hue instructions ko follow kare.
  1. Sabse pahle aapko same process follow karna hai isme aapko us folder par chale jana hai jaha par wah data rakha hai jise aap copy karke dusri jagah paste karna chahte hai aur us par Ctrl+c press karna hai.
  2. Ab aapko is data ko jaha bhi ya jis folder me paste karna hai waha chale jaye and simply Ctrl+v ko press kare aapka data paste ho jayega.
To dosto is tarah se aap shortcut keys ki madad se bhi computer me copy/paste kar sakte hai. Hum aapko yaha par dono method ke bare me bata chuke hai aap chahe to right click madad se copy paste kare ya fir shortcut keys ki help se kare aapko jaisa thik lage us method ka upyog kare. Dosto ab aapki baari hai to chaliye inhe try karke computer me copy paste karne ki koshish kare isse aap computer me copy paste karna sikh jayenge. Aapko iske baad bhi kuch samajh nahi aata hai to comment karke hume bataye hum aapki help jarur karenge.

Conclusion

Dosto to dekha aapne kitna aasan tha copy aur paste karna aur hume puri ummid hai ki aapko yah achche se samajh aa gaya hoga. Chaliye dosto ab aapki bari hai computer me copy paste kaise kare iske bare me agar aapke dosto ko nahi pata hai to aap unhe is post ko share kar sakte hai taaki aur bhi log hamari website par visit kar sake aur wo sab bhi computer ke bare me aur adhik jaan sake. Hum aapke liye daily computer se related bahut achchi jankari lekar aate rahte hai aur agar aap aage bhi esi hi post padhna chahte hai to jaldi se hamari website subscribe kare taaki aapko new updates ki jankari hum aapke email par sabse pahle bhej sake. Computer me copy paste karne ka yah post yahi par khatm hota hai hum jaldi aapke liye kuch aur naya lekar aayenge tab tak ke liye good by fir milenge.

Post a Comment

Previous Post Next Post