Computer/laptop me Folder kaise banaye || puri jankari hindi me

Dosto aaj hum ek baar fir se aapke liye bahut achchi jankari lekar aaye hai yah post new computer use ke bahut kaam aane wali hai kyoki agar aap ek beginner hai aur recently computer chalana shuru kiya hai to aapko computer me folder kaise banaye iske bare me nahi pata hoga. Isliye is post me laptop ya fir computer me folder kaise create karte hai iski jankari dene wale hai aur aapko folder banane ke bare me jankari nahi hai to ab pareshan hone ki koi jarurat nahi hai is post ko padhne ke baad aap sikh jayenge to sabse pahle hum yah samjhte hai ki folder kya hota hai aur iska upyog kyo karte hai.
Computer me folder kaise banaye
Jab hum kisi ke bare me kuch sikh rahe hai to hume uski puri jankari hona chahiye to chaliye pahle folder ke bare me jaante hai aur uske baad folder banane ki puri process bhi dekhenge.

Computer me Folder kya hai in hindi

Dosto hamare laptop ya computer me bahut sara data hota hai jinka upyog hum roj karte hai to yah sab data hamare pc ke storage me kisi folder me save hota hai ye folder auto create hote hai par hum apni pasand ke hisaab se apne pc me bahut sare folder bana sakte hai.
Folders banane ka ek fayda yah hota hai ki hum apni pasand ke folder me alag alag tarah ke data store kar sakte hai aur isse hume apne data ya fir file ko dhundhne me bhi bahut aasani hoti hai.

Computer me Folder ka upyog kyo karte hai janiye

Dosto chahe mobile ho ya fir computer folder to dono ke liye upyogi hote hai kyoki folder ka upyog kai tarah se kiya ja sakta hai. Aap folder ka use apne personal data ko chupane ke liye bhi kar sakte hai ya fir apne computer ke data ko alag alag category me dalna chahte hai to iske liye aap multiple folder bana kar unhe upyog me le sakte hai. Iska ek fayda yah bhi ho jayega ki aap apne data ko aasani se dhundh sakte hai kyoki aapko yaad rahega ki konse folder me kis tarah ka data rakha hua hai. Folder ka upyog data ko chupane ke liye aur data ko store karne ke liye kiya jata hai iske lawa to aur koi kaam nahi hota hai folder ka to chal ab baari hai ki folder create kaise karte hai iske bare me jaan lete hai.

Computer ya laptop me folder kaise banaye

Dosto apne computer ya laptop me folder banane ki process bahut aasan hai aapko bas niche bataye hue kuch aasan se steps follow karna honge.

STEP-:1 Sabse pahle apne pc o chalu kare file manager me chale jaye ya sabhi folder jo aapke pc me hai vo dikhaye jayege ab aapko right click karna hai jisse ek popup khulega isse kuch options show honge to aap isme new folder ko chune.
select new and make folder
STEP-:2 Fir aap apne folder ka jo bhi naam rakhna chahte hai wo likhe aur ok kare isse aapka folder ban kar taiyar ho jayega.
folder created in pc
Ab aapka folder ban chuka hai aur aap iska apni jarurat ke hisaab se upyog kar sakte hai to chaliye ab hum aapko yab bhi batate hai ki folder me apna data kaise add karna hai.

Folder me data ya file kaise add kare

Agar aap apne banaye hue naye folder me koi bhi data ya fir file add karna chahte hai to iska process bahut aasan hai aapko jo bhi data/file apne new folder me dalna hai usko simply copy kare aur fir apne new folder me jakar paste kare data new folder me chala jayega. Ab agar mobile ka data apne computer ke new folder me dalna hai to uske liye pahle to aap apne data ko computer ya laptop me dale ab transfer ke baad jaha bhi wo data aapke pc me store hua hai usko copy karke new banaye hue folder me paste kar dijiye. Dosto is tarah se aap apne new folder me jarurat ke hisaab se data/file daal kar store kar sakte hai.

Folder ki security kaise karte hai janiye

Dosto folder ko banane ke bare me to hum jaan gaye hai par aap chahe to apne folder me privacy ke liye usme password bhi laga sakte hai isse yah hoga ki agar aapke pc me koi esa data store karke rakhte hai jise koi bhi access nahi kar sake to ese me ya to apne folder ko hide kar sakte hai ya fir usme password laga kar rakh sakte hai. Ab agar koi aapka laptop use bhi karta hai to wo hide kiya hua folder dekh nahi payega kyoki usko pata hi nahi hoga ki folder kaha hai wo sirf aapko pata hoga. Folder ko hide karne ke bare me hum pahle ek post me bata chuke hai aap use padh sakte hai.

Conclusion

To dosto aaj hum sikh chuke hai ki kaise bahut aasani se apne laptop ya fir computer me folder banaya jata hai. Iske baad bhi aapko folder banane me koi pareshani hoti hai to aap hume bataye hum aapko puri help karenge. Ab agar is post ki madad se aap pc me folder banana sikh gaye hai to jaldi se is post ko apne dosto ke sath share kare taaki jo log computer me folder banane ke bare me nahi jante hai unhe bhi iski jankari ho sake. Post achcha laga to iske bare me comment jarur kare hum ese hi aapke liye computer se related post lekar aate rahte hai to aap isi tarah se hamari website se jude rahe hum jaldi aapke liye computer se related kuch new jankari lekar aane wale hai. Filhal is post ko yahi khatam karte hai aur jaldi naye content ke sath milte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post