Dosto kya aapko pata hai jo whatsapp aap apne mobile phone me chalate hai aap usko apne computer laptop me bhi bahut aasani se chala sakte hai Whatsapp me ek feature diya jata hai jise whatsapp web kaha jata hai aur iska upyog whatsapp ko web version me log in karke chalane ke liye kiya jata hai. Aaj hum aapke liye computer se related jo jankari lekar aaye hai yah aapke liye bahut helpfull hone wali hai kyoki aap agar whatsapp web ka upyog karke apne pc me whatsapp chalate hai to aap iska upyog file transfer ki tarah bhi kar sakte hai. Aap iske liye bas whatsapp web ke qr code ko apne mobile ke WhatsApp se scan karna hota hai aur aapka WhatsApp pc me chalne lagata hai iske liye koi bhi verification ya log in detail ki jarurat nahi hoti hai hum bahut aasani se computer me apna whatsapp chala sakte hai.
Dosto whatsapp ko computer me chalane ke liye hume whatsapp web ka option diya jata hai whatsapp web ka yaha par matlab hai ki aap apne WhatsApp ko web version me bhi chala sakte hai whatsapp web ki sabse achchi baat yahi hoti hai ki hum apne WhatsApp account ko ek samay par 2 jagah log in karke access kar sakte hai. Computer me whatsapp web chalane ke bare me kuch log jante hai lekin bahut sare log iske bare me nahi jante hai ki computer me whatsapp kaise chalate hai aur isliye hum aapko is post ki madad se yahi batane wale hai ki computer me whatsapp log in kaise karte hai aur isme koi preshani to nahi hoti hai iske bare me puri jankari dene wale hai hum aapka jyada samay nahi lene wale hai to chaliye sabse pahle computer/laptop me whatsapp chalane ke bare me jaan lete hai.
Computer me whatsapp kaise chalaye ? Iski puri jankari
Computer me whatsapp log in karke chalana bahut aasan hai aur iska feature aapke whatsapp me hota hai hum aapko iski puri process bata rahe hai isliye aap niche bataye hue sabhi steps achche se follow kare aapka kaam ho jayega aur aapke computer me bhi whatsapp chalne lagega to chaliye computer me whatsapp chalane ki process shuru karte hai.
STEP-:1 To sabse pahle apne computer ko chalu karna hai aur uske baad aap kisi browser ko khole hum firefox ka upyog kar rahe hai aur fir browser whatsapp web search karke first website par jaye.
STEP-:2 Now aap whatsapp web par pahuch jate hai aur yaha par aapko qr code dikhta hai aap is image me dekh sakte hai aapke samne bhi kuch is tarah ka page khulega hum is qr code ko scan karne wale hai.
STEP-:3 Qr code scan karne ke liye aapke apne mobile me whatsapp ko open karna hai aur top right side me menu bar par click karna hai uske baad aapke samne kuch option honge isme Linked Device ka option hota hai usko select kare.
STEP-:4 Linked Device par click karne ke baad aapko Link a device ka vikalp milta hai aapko iske upar click karna hoga aap is image me dekh sakte hai taaki sab kuch aasani se samajh sake.
STEP-:5 Ab aapke mobile me scanner open ho jayega to isse aap abhi jo qr code apne computer laptop me khole the usko scan kare jaise hi qr scan hoga whatsapp khul jayega.
Congratulations dosto ! Aapka whatsapp ab pc me bhi chal raha hai aap ise computer aur mobile dono me ek samay par upyog kar sakte hai aur agar aap kisi se chat karna chahte hai ya fir koi file bhejna chahte hai to apne computer me khule hue whatsapp se bhi bhej sakte hai. Jab aapka kaam ho jata hai to aap apne WhatsApp computer se tab close karke hata sakte hai isse kuch der me whatsapp log out ho jata hai. Aapko is process me agar kuch samajh na aata hai to aap hamari help le sakte hai hum aapko sab kuch achche se samajh denge. Chaliye ab aap bhi apne computer ko pc me use karke dekh sakte hai.
Computer me whatsapp chalane ke fayde janiye
Aapko pata hona chahiye ki computer me whatsapp chalane ke bahut sare fayde hote hai agar aap office work karte hai to aapko mobile me whatsapp kholne ki jarurat nahi hai whatsapp web ka upyog karke apne computer me whatsapp chala sakte hai iske sath aap chahe to kisi bhi tarah ka data computer se apne mobile me whatsapp web ka upyog karke bhi transfer kar sakte hai. Iske alawa aap apne WhatsApp account ko apne mobile aur computer dono jagah par ek samay me ek sath upyog kar sakte hai aap aasani se kaam ho jane ke baad apne WhatsApp ko computer se log out bhi kar sakte hai hai dekha jaye to iske alawa bhi bahut sare fayde hote hai whatsapp web ke jinke baare me hu aage aane wali post me batane wale hai aur whatsapp web ka upyog karne se hume koi pareshani nahi hoti hai.
Conclusion
Finally aaj hum computer me bhi whatsapp chalana sikh gaye hai aapko hum iska pura process bata chuke hai ab aapki bari hai dosto ise jarur try kare computer me whatsapp kaise chalaye iske bare me to hum jaan gaye hai lekin aapko abhi bhi kuch samajh nahi aata hai aur agar aap kuch puchna chahte hai to comment karke puch sakte hai. Computer me whatsapp login karke chalane ke bare me aapko yah jankari kaisi lagi hai iske bare me jarur bataye aur agar post pasand aaya hai to ise apne dosto ke sath share kare taaki unhe bhi iske bare me pata chal sake. Chaliye dosto aaj ki post hum yahi khatm karte hai aur ummid karte hai ki aapko yah jankari achchi lagi hogi hum aage bhi aapko ese computer se related post dete rahenge. New update ke sath jaldi milte hai tab tak ke liye good by aapka din achcha rahe.
Tags:
Internet