Hello doston to kaise hai, aap log. Hamare blog per aapka swagat hai. Doston kya aap apne Whatsapp me password lagana chahte hai, ya fir apne whatsapp ko dusre logon se surakshit rakhna chahte hai, ya security dena chahte hai, to aaj ka yah artical aapke liye bahut helpful hone wala hai.
Agar aap whatsapp ka use karte hai, to aapko whatsapp me password kaise lagaye iske bare me jarur pata hona chahiye. Taki koi bhi anchaha user aapke personal photo, video, aur chat ko na dekh sake. WhatsApp me hamari kai sari personal chats, video, ya image hoti hai, jo agar kisi bhi vyakti ke pass chali jaaye ya koi dekh le to hamare liye pareshani hoti hai.
Doston agar aapko bhi whatsapp me password lagane me pareshani ho rahi hai, aur aap yah janna chahte hai whatsapp per PIN Code, Password Lock ya Pattern ya Fingerprint lock kaise lagate hai, to fir is artical ko akhiri tak jarur padhen. Ham aapko whatsapp me password lock kaise lagaya jata hai iske bare me batane wale hai. To chaliye ab bina der kiye shuru karte hai.
Whats App par Password Kyu Lagaye -
Whats App Par Password Kaise Lagaye.
Doston jaisa ki hamne aapko upar bataya hai, whatsapp per koi aisa official option nhi hota hai, jiski sahayata se ham whatsapp per lock laga sake. Lekin whatsapp per lock lagane ke liye aap third party app WhatsLock ki madad bhi le sakte hai. aur mobile me bhi kuchh aisi settings hoti hai jinki sahayata se ham kisi bhi app per lock laga sakte hai. Ham aapko yahan per niche unhi settings aur app ke bare me bataenge jisse whatsapp me Password ya lock lagaya ja sakta hai.
Method 1-
Whats Lock Ki Madad Se Password Lagaye -
Step 1- Sabse pahle aap apne mobile me WhatsLock ko Play Store se download karke install kar le. aur ise open kar le.
Step 2- Ab ise open karne ke liye start button per click kare. yahan per aapko WhatsApp ka option dikhai dega, ise on kar de.
Step 3- Iske bad aapko yahan per apni Gmail ID dalna hai. Gmail ID dalne ke bad ok per click kar de.
Step 4- Ab aapke mobile me WhatsLock App ko ON karne ke liye permission dena hogi, to aap WhatsLock ke samne diye gaye button ko ON kar de.

Step 5- Ab aapko pahle se set default pin 1234 change karna hoga. Kyunki is App ka default pin 1234 hota hai. Iske liye aap is app ke home page me jakar password ke option per click kare.
Step 6- Yahan per aapko naya password ya PIN dalna hai. iske bad save per click kar dena hai.
Step 7- Ab aapke WhatsApp per Lock lag chuka hai. Jab tak aap WhatsApp open karne ke liye password nhi dalenge tab to aapka WhatsApp open nhi hoga.
Ab aap is page ke home page par jaye or yahan per Uninstaller ke option ko ON kar de, taki aapke alava koi bhi is app ko uninstall nhi kar paye. Aapko is App ke home page per fingerprint aur pattern lock ka bhi option mil jaega.
is WhatsLock app ko uninstall karne ke liye bhi password ki jarurat hoti hai, jo keval aapke pass hota hai.
Method 2-
Is method ki sahayata se aap apne mobile me whatsapp ke password ko aasani se laga sakte hai. iske liye in steps ko follow karen.
Step 1- Sabse pahle phone ki Settings me jaaye aur Settings wale icon per click kare.
Step 2- Ab aapko yahan per privacy wale option per click karna hai.
Step 3- yahan per aapko App Lock ka option dikhai dega, to aap simpali is app lock vale option par click kare.
Step 4- Yahan par aapko set password ka option dikhai dega, to aap set password wale option per click karen.
Step 5- iske bad apko set privacy password ka option milega to aap yahan per 6 digit ka password enter kare. Jo bhi aap chahe vah.
Step 6- Ab aapko verify new password ka option dikhai dega, to aapko yahan per vah 6 digit password enter karna hai jo aapane upar 6 digit ke password enter kiye the.
Step 7- yahan par aapko security question ke bare me poochha jaye to aapse security question me jo bhi pucha jaye, uska answer likh sakte hai. aur fir answer likhane ke bad Done per click kar de.
Step 8- Ab iske bad aapko Lock ka option dikhai dega to aap Lock wale option per click kare.
Step 9- Click karne ke bad aapke mobile me jitne bhi app install hai vah sab aapko yahan per dikhai denge. aap yaha par jitane bhi Apps hai, sab par password laga sakte hai. Lekin hame WhatsApp per password lagana hai to ham WhatsApp wale option per click karenge.
Step 10- Ab whatsapp par click karne ke bad app lock ka option dikhai dega. Aur uske pass me ek icon dikhai bhi dega, to aap is icon par click karke ise on kar de. ON karte hi aapke mobile ke WhatsApp me password set ho jaega. jise keval aap open kar sakte hai.
Doston yah thi whatsapp me password ya lock lagane ke kuch tarike. is tarah se aap apne mobile me WhatsApp per lock ya password laga sakte hai, aur apne whatsapp ko dusre logo se surakshit rakh sakte hai.
Conclusion -
Aaj hamne aapko is post me WhatsApp me Password ya Lock kaise lagaya jata hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye.
Aur aagar apko hamara article whatsapp me password ya lock kaise lagaye, achha laga ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.
Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho