AD

Primary memory kise kahte hai. (what is primary memory).

ADvk

Hello doston to kaise hai, aap log. Hamare blog per aapka swagat hai. Doston memory kya hoti hai, yah to aap jante hi honge, kya aap yah jante hai primary memory kya hai, yah kitne prakar ke hoti hai, aur inka upyog kahan per kiya jata hai.



Agar aap nhi jante hai ki primary memory kise kahate hai, to ham aapko is artical me primary memory kya hai, yah batane wale hai. isliye aap hamare sath akhiri tak bane rahe. To chaliye ab bina der kiye shuru karte hai.

Primary Memory Kya Hai -

Primary memory jise computer ki main memory bhi kahte. Primary memory us data ya program ko computer me store karti hai, jise vartman samay me central processing unit (CPU) dwara process kiya ja raha hota hai. yah memory volatile aur Non-volatile dono prakar ki hoti hai,  jahan per volatile memory ka matlab hai, vah memory hai jahan tak computer on hai vahan tak data ko store karti hai, computer of hote hi data delete ho jata hai. Non volatile ka matlab vah memory jisme lambe samay tak data store kiya ja sakta hai, ise computer ke off hone se koi fark nhi padta hai, isme computer off hone per bhi data store rahata hai. Yah memory teen prakar ki hoti hai. RAM, ROM aur Cache Memory. primary memory secondary memory se tej hoti hai.

Primary memory ko primary storage aur internal memory bhi kaha jata hai. Yah memory jyadatar semiconductor samagri se banai jaati hai, tatha yah secondary memory ki tulna me mahangi hoti hai.

Primary Memory ki visheshta -

(•) Primary memory use program ya data ko store karti hai jise vartman samay me CPU ke dwara process kiya ja raha hota hai.

(•) Ham primary memory ke bina computer per kam nhi kar sakte hai.

(•) Yah memory computer me sidhe CPU se connect hoti hai.

(•) yah memory secondary memory se mahangi hoti hai.

(•) Primary memory secondary memory /storage se kafi tej hoti hai.


Primary Memory kon-kon si hoti hai -

Primary memory ko teen bhagon me banta gaya hai.

(•) RAM

(•) ROM

(•) Cache Memory


(1) RAM -  

RAM ka pura name rundom Access memory hota hai. yah computer ki mukhya memory hoti hai, jo computer ke motherboard per lagi hoti hai.  aur CPU ki aantrik memory ke roop me kary karti hai. Jab bhi ham computer per koi file kholte hai, to vah sabse pahle RAM me hi load hoti hai, uske bad CPU dwara unhen process kiya jata hai. ise temporary memory arthat asthai memory bhi kaha jata hai, kyunki isme data esthai roop se store nhi hota hai. Jab tak computer on hai tab tak data store hota hai, aur jaise hi computer off hota hai ismein maujud sara data delete ho jata hai. Computer ke performance mukhya roop se RAM ke size aur storage capacity per nirbhar karti hai. Yah nimn prakar ki hoti hai.

(•) Dynamic RAM - Dynamic RAM ko DRAM ke name se bhi jana jata hai. iska upyog cache memory ke roop me kiya jata hai, is memory me data ko store karne ke liye capacitor ka upyog kiya jata hai, aur ismein data ko lambe samay tak store karne ke liye lagatar refreshing ki avashyakta hoti hai. Iski storage capacity adhik hoti hai, lekin yah dhimi hoti hai, yah lambe samay tak kharab nhi hoti hai.

(•) Static RAM -  Ise SRAM ke name se bhi jana jata hai. ismein data ko store karne ke liye  transistors ka upyog kiya jata hai, ise bar-bar refresh karne ki avashyakta nhi hoti hai, yah computer me main memory ka kam karti hai. yah data ko adhik samay tak store kar paati hai, yah data ko tab tak store karti hai, jab tak isko current milta rahata hai. Yah memory data ko bahut teji se access karti hai, yah memory fast hoti hai, tatha yah mahangi bhi hoti hai. 

(•) Synchronous RAM - Synchronous RAM DRAM se tej hoti hai, kyunki yah DRAM ke mukabale jyada teji se refresh hoti hai. Yah CPU clock Speed ke sath refresh hoti hai, jis karan jyada teji se data ko sthantarit ya transfer kar paati hai.


(2) ROM -

ROM ko read only memory kaha jata hai. Yah ek non volatile memory hoti hai, jo data ko permanently rup se store karti hai. is memory ko Readable ya read only memory isliye kahate hai, kyunki ismein data ya program sirf padha ja sakta hai, ismein kisi bhi tarah ka badlav karna sambhav nhi yah thoda kathin hota hai. kyunki ROM ke manufacturing ke samay rom me program ko store kiya jata hai, iske bad room ke contey/data ko badla nhi ja sakta hai. Lekin kuchh prakar ke ROM hai jahan per data ko modify kar sakte hai. Yah non-volatile prakriti ki hoti hai, kyunki computer off hone ke bad bhi ismein maujud data delete nhi hota hai. Yah memory RAM ke mukabale sasti hoti hai, yah teen prakar ki hoti hai.

(•) PROM 

(•) EPROM

(•) EEPROM


(•) PROM - PROM ko Programmable Read Only Memory kahate hai. yah ek non-volatile memory device hoti hai. ismein data store karne ke bad ise modify nhi kar sakte, ismein keval ek bar data ko store kiya ja sakta hai. Yah ek One Time Programmable chip hoti hai, jo puri tarah se plastic cover se dhaki rahti hai.

(•) EPROM -  EPROM ka pura name Erasable Programmable Read Onley Memory hai. ismein store data ya program ko Ultraviolet Rays ke dwara hi mitaya ja sakta hai, aur naye program ko store kiya ja sakta hai. EPROM ek PROM ki tulna me mahangi hoti hai. Yah ek Pardarshi Quartz Window se cover hoti hai. 

(•) EEPROM - EEPROM ka pura name Electrically  Erasable Programmable Read Only Memory hai. EEPROM sabse mahangi aur advanced ROM hai. ismein store program Ko electric charge ki sahayata se mitaya ja sakta hai. Yah puri tarah se apardarshi plastic box me band hoti hai.


Cache Memory - 

Cache Memory computer me ek chote size ki memory hoti hai, jo anurodhit data aur nirdeshon ko store karti hai. Taki jab bhi CPU ko data ki jarurat ho to yah uplabdh rahe. yah bahut hi fast memory hoti hai, jo computer me RAM aur CPU ke bich esthit hoti hai. Yah data ko temporary roop se store karti hai. CPU jab bhi koi task karta hai, jahan per aise kai nirdesh hote hai, jinki jarurat CPU ko bar-bar padti hai, tab cache memory use turant CPU ko pradan karti hai. Jisse computer ki performance me sudhar hota hai. yah aamtaur per computer me CPU ke sath inbuilt hoti hai, ya fir kisi alag chip ke roop me computer me maujud hoti hai.

Dosto yah thi Primary Memory ke bare me jankari. Ab to aapko pata chal gaya hai, primary memory kise kahte hai, or yah kitane prakar ki hoti hai. Mujhe ummid hai aapko hamari yah jankari pasand aai hogi.

Conclusion -

Aaj hamne aapko is post me Primary Memory kise kahte hai, aur yah kitane prakar ki hoti hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye. 

Aur aagar apko hamara article Primary Memory kya hai, achha laga ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.

Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho.

AD

Post a Comment

Previous Post Next Post
AD