Hello doston to kaise hai aap log, hamare article per aapka swagat hai. Ham aapko is post me Google Play Store me aane wali Error ko kaise theek Kare, iske bare me batane wale Hai.
Doston play store me aane wali error jaise Play Store ka work na karna, Play Store App Downloading me problem, App Update me aane wali problem, App Installation problem, Play Store 920 error problem, aur bhi bahut sari error ko kaise theek kiya jaaye iske bare me batane wale Hai. isliye aap hamare sath last tak bane rahe, to chaliye ab shuru karte.
Google Play Store not Working Problem Kaise Fix Kare -
Agar aapke phone me Google Play Store kam nhi kar raha hai to iski kuchh problem ho sakti hai. Jaise -
(•) Troubleshooting Guide - Aap sabse pahle dekhiye ki aapko jo problem hai uska google ke sath koi contact to nhi hai. iske liye aap downdetector jaise service per Google Play Store status ko check kare. Yadi bahut sare users ko ek saman common problem a rahi hai tu yah google ki taraf se ho sakti hai, iske theek hone tak wait kare.
(•) Google Apps Ki Investigation Kare - Google Play Store hang ho raha hai to
Setting > Apps > All Select the Google Play Store > Force Stop Kare.
ab yah confirm karen Google Play Store up to date aur clean hai. Yadi aapke pass Google ka newest update install hai, aur fir bhi aapko error jaise issue a raha hai to Google Play Store Cache ko saaf karna hoga. Aur agar fir bhi problem a rahi hai to Google Account ko RESET Kare. Aapki problem solve ho jayegi.
Play Store App Downloading Error Kise Fix Kare -
Play Store me app downloading Error Jaisi problem logon ko aksar dekhne ko milti hai. unke mobile me sabhi chijen sahi tarike se kam kar rahi hai fir bhi jab Google Play Store se koi application download karte hain to vah download nhi hota hai. is problem ko solve karne ke liye niche bataya ja rahe method ko follow Kare.
- How to create wish app account.
- How to hack facebook account.
- How to enable TalkBack Option in Apple mobile.
(•) Google Account ki jaanch Kare - Google Play store me app download na hone ka karan google ko sahi dhang se integrate nhi kar pana bhi hota hai. Agar apne Google Account ko phone se sahi dhang se integrate nhi kiya jaaye to aap ke phone me apps ko download karna band kar deta hai. Aur yah tab hota hai, jab aap do account ko ek sath use karte hai. to secondary account ke dwara yah problem hoti hai. isko problem ko thik karne ke liye in steps ko follow kare.
Step 1- Sabse pahle phone ki settings me jaaye, aur Play Store Accounts ko select kare.
Step 2- Ab Google wale option ko select kare. Aapko yahan dono account dikhai denge, jismein aapane first Gmail Account me secondary account integrate kiya tha.
Step 3- Ab aap secondary Gmail Account ko remove kar de.
Step 4- Ab aap phone ko restart kar de. aapki problem solve ho jayegi.
(•) Google Paly Store History Delete Kare -
Aapke mobile me app download nhi ho raha hai to Google Play Store history delete kare. aapki problem solve ho jayegi. History delete karne ke liye in steps ko follow kare.
Step 1- Sabse pahle phone mein Play Store ko open karen.
Step 2- Ab menu bar per click kare.
Step 3- Iske bad settings wale option per click kare.
Step 4- Ab Clear Search History wale option per click kare. Aapki problem solve ho jayegi.
(•) Play Store App Cache Data Delete Kare -
App download nhi hone par play store ki cache data ko clear karke dekhen. iske liye in steps ko follow kare.
Step 1- Phone ki settings me jaaye, aur app management per click kare.
Step 2- Ab Google Play Store ko search karen, aur is per click kare.
Step 3- Ab Clear Cache Data ka option dikhai dega, is per click karke Cache ko clear kare.
Step 4- Phone ko restart kare. aap ki problem solve ho jayegi.
(•) Phone Time & Date Set Kare -
Agar aapke phone ka Time aur Date galti se change ho gaya hai to ise thik kar le. Kyun ki kai bar Time & Date change ho jane par app download nhi hota hai. isliye app download nhi hone per aap sabse pahle phone ke time & date ko set kar le.
Google Play Store App Update Problem Fixed -
Aapko Play Store se app update karne mein problem a rahi hai, to is method ka upyog karke problem ko theek kar sakte hai.
(•) Internet Connectivity - Play Store se app update karne me problem a rahi hai, to sabse pahle apne mobile ke internet connection ko check kare. kahi aapke phone mein internet off to nhi hai. kyun ki internet off hone ki vajah se app downloading ya update hamesha pending show hota hai. iske liye aapko apne phone ke data ko ON karna hoga. Aur agar aap Wi-Fi ke jariye internet ka use kar rahe hai, to aap ko apne smart phone ka Wi-Fi check karna hoga aur yah dekhna hoga ki internet ki speed sahi hai ya nhi. iske bad aapko app update karne me koi problem nhi hogi.
Play Store 920 Error Problem Fix -
Agar aapko play store me 920 ka error a raha hai, to is problem ko solve karne ke liye in steps ko follow kare.
Step 1- Sabse pahle apne mobile me internet connection ko off karke dobara on kare. aur fir phone ki setting se me jana hai.
Step 2- Ab scroll karne ke bad sync wale option per click karna hai.
Step 3- Ab aapke Google Account ko open karna hai.
Step 4- iske bad aapke account ko remove kar de, aur fir dobara apne google account ko add kar de. aur phone ko restart kar de. Aap ki problem solve ho jayegi.
problem solve na hone per in steps ko bhi follow kare.
Step 1- Sabse pahle phone ki settings me jaaye.
Step 2- Ab installed apps wale option per click kare.
Step 3- iske bad play store search kare. aur Google Play Store per click kare.
Step 4- Ab clear all data wale option per click kare.
Step 5- Ab aapko piche aana hai, aur Google Play Service wale option per click karna hai, aur fir manage space wale option per click karna hai. iske bad clear all data wale option per click kar de. Aapki problem solve ho jayegi.
Agar problem solve nhi hoti hai, to aapko dobara play store mein jana hai, ab aapko yahan per Play Store ka update dikhai dega, to aapko is update ko uninstall karna hai. aur fir aapko apne phone ko restart karna hai, to fir aap ki problem solve ho jayegi.
Doston is tarah se aap apne mobile me play store me aane wali Error ko fix ya solve kar sakte hai.
- Facebook Account / I'D kaise hack kare?
- Facebook working colour code list 2022.
- Facebook Account permanently delete kaise kare.
Hame ummid hai aapko hamara hai artical pasand aaya hoga.
Conclusion -
Aaj hamne aapko is post me Play Store me aane vali Error ko kaise thik kiya jata hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye.
Aur aagar apko hamara article play store error ko fixed ya solve kaise kare, achhi lagi ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.
Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho.