Hello doston to kaise hai, aap log. Hamare artical per aapka swagat hai. doston kya aap facebook se apna account delete karna chahte hai. ya fir Facebook se account kaise remove kiya jata hai, yah janna chahte hai, to yah artical aapke liye bahut faydemand sabit hone wala hai. Me aapko is artical mein facebook account ko kaise delete ya remove kiya jata hai, iske bare me puri jankari dene wala hu.
Aap is artical ko sahayata se asani se facebook se apna account remove ya delete kar payenge. isliye aap hamare sath akhari tak bane rahe. To chaliye ab bina der kiye shuru karte hai.
Facebook Kya Hai -
Facebook ek online social networking website hai. Jise 2004 me banaya gaya tha. Aaj ke is technology ke samay me bahut sare log facebook ka use karte hai, jiske karan aaj iske user's ki sankhya 2 billion se bhi jyada ho gai hai.
Facebook ek bahut hi badi social networking website hai, jiska use user's kai sare uddeshyon ke liye kar rahe hai. Facebook apne user's ki security ka pura dhyan rakhta hai, taki koi bhi use user's ke data ka galat use na kar sake. Or vah lagatar apni security me improvement karta rahta hai. Lekin fir bhi bahut sare log ese bhi hai, jo facebook ka use nhi karna chahte hai, kyu ki unhe lagta hai, ki facebook jyada surakshit nhi hai. Ya fir vah apni important ja jankari ya data ko kisi dusre vyakari ke sath share nhi karna chate hai, unke man me facebook ki security ko lekar douts hote hai. Agar aap bhi un logo me se hai, jo facebook se apna account ko delete ya remove karna chahte hai, to yah artical aapke liye hai. Kyo ki me aapko bataunga internet se apne facebook account ko permanently delete ya remove kaise kiya jata hai.
Facebook Account Delete Kyo Kare -
(1) kuch logo ko yah pasand nhi hai, ki vah facebook par kitna samay bitate hai, unhe social media sites par samay bitana jayada acha nhi lagta hai. Kyu ki vah sochate hai, facebook par jayada samay bitana sehat ke liye achha nhi hai.
(2) Bahut sare log apni niji jankariyan dusre logo ke sath share nhi karna chahte hai, vah nhi chahte ki unki personal jankari kisi dusre ko pata chale.
(3) Kuch logo ke man me dout rahta hai, ki facebook kaise company hai. Kya vah unke data ko kisi dusre vyakti ke sath share karti hai, ya nhi. Agar share karti hai, to yah unke liye achha nhi hai, jo facebook user's apna personal data kisi ke sath share nhi karna chahta hai.
Facebook Se Account Kaise Hataye -
Facebook se account ko delete karne ke kai sare tarike hai, unme se kuch kam ko hai, to kuch work nhi karte hai.
Lekin me aapko yaha par us method ke bare me bataunga jiski sahayata se aap facebook se apne Account ko hamesha ke liye delete ya remove kar payenge.
Facebook se apne account ko delete ya remove karne ke liye aap niche bataye ja rahe steps ko follow karke asani se facebook account delete ya remove kar payenge.
Step 1- Sabse pahale aap apne mobile me facebook account ko login karke ise open kare.
- Play Store downloading error kaise thik kare?
- Play Store 920 error and update problem kaise thik kare?
Step 2- Ab aapko yaha par Right Side me 3 line ya 3 dots dikhai denge, aap is par click kare.
Step 3- Iske bad aap scroll karke niche jaye, or yaha par Settings & Privacy vale option par click kare.
Step 4- Iske bad aapke samne ek naya page open hoga. Aap yaha par Setting vale option par click kare.
Step 5- Ab naya page open hoga, aapko scroll karke niche jana hai, or fir Account ownership and control vale option par click kare.
Step 6- iske bad aap Deactivation and deletion vale option par click kare.
Step 7- Ab naya page open hoga. Aap yaha par Delete account vale option ko select kare.
Or uske bad Continue to account deletion vale par click kar de.
Kyu ki ham apna facebook account delete kar rahe hai, is liye Delete account vale option par click karne ke bad continue to account deletion vale option par click kar rahe hai.
Iske bad ek naya page open hoga, jaha par Before You Delete, We May Be Able to Help likha hua dikhai dega.
Agar aapko yaha par ok ka pucha jaye to aap ok par click kar de.
Is tarah se aap in steps ko follow karke apne facebook account ko delete ya fir remove kar sakte hai.
Dosto yah thi facebook account ko delete ya remove kaise kare iske bare me jankari. Mujhe ummid hai, aapko hamari yah jankari pasand aai hogi.
Conclusion -
Aaj hamne aapko is post me Facebook Account ko kaise delete kiya jata hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye.
Aur aagar apko hamari post kisi bhi facebook account ya ID ko kaise remove kiya jata hai, achhi lagi ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.
Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho.