hello doston to kaise hai, aap log. Hamare article per aapka swagat hai. doston kya aap janna chahte hai, wish app par account kaise banaya jata hai. ya wish app par account kaise banaye. To yah post aapke liye bahut helpful sabit hone wali hai.
Ham aapko is article me wish app par account kaise banaya jata hai iski jankari dene wale hai. aur wish app kya hai yah bhi batane wale Hai. isliye aap hamare sath last tak bane rahe. To chaliye ab bina der kiye shuru karte hai.
Wish App kya Hai. -
Wish bahut hi shandar online shopping website hai, jise 2010 mein Google aur Yahoo ke X programs ne launch ki thi. Aap is website ki sahayata se kuch bhi saman khareed sakte hai, aur shopping kar sakte hai. yahan per aapko mahangi items saste rate per mil jaati hai. Yahan per aapko hair extension se lekar laptop, selfie light aur bhi bahut sara saman mil jaega. Agar aap kisi acche si watch ko kharidna chahte hai, ya fir apne liye koi si dress kharidna chahte hai, vah bhi keval $10 se kam mein to aap in sab ko wish website se khareed sakte hai. Present day mein wish ka total worth 17 billion dollar hai.
Wish App Par Account Kaise Banaye. -
Wish app per account banana bahut hi aasan hai. iske liye aapko jyada kuchh nhi karna hai. Ham aapko yahan per wish app par account banane ke liye kuchh steps bata rahe hai, jinko follow karke aap aasani se wish app par account bana sakte hai.
Step 1 - Wish account banane ke liye aapko sabse pahle apne mobile mein play store mein jana hai.
Step 2- Ab yahan per search bar mein wish type karna hai.
Wish website par direct jane ke liye ap niche vali link par click kare.
Step 3- Ab aapke samne ek page open hoga. aapko yahan per email address aur fir niche password dalne ka option dikhai dega. aapko yahan per or continue with me Facebook aur Google ka option bhi mil jaega, jisse aap Facebook aur Google login karke bhi wish account create kar sakte hai.
Step 4- Ab agar aap Gmail Account se wish account create kar rahe hai to Gmail I'd dal kar niche password dale, or fir Log in per click kar de.
Step 5- Aur agar aap Facebook ID se wish account create karna chahte to Facebook per click Kare.
Step 6- Ab aapko yahan per apni Facebook ID or password dalna hai. uske bad Log in per click kar dena hai.
Step 7- Ab aapko yahan per continue per click karna hai.
Step 8- iske bad aapko dobara continue per click karna hai.
Step 9- yahan per Allow wish to contact you through messenger ka pucha jayega, to aap yahan per aapko jo select karna hai, vah select kar le.
Step 10- Ab aap se yahan puchha jaega aap men hai ya women. agar aap aadami hai to Man select Kare, aur aap ladki hai to Women ko select karen. aur fir niche select likha hua dikhai dega is per click kare.
Ab aap apni Age ko select Kare.
Step 11- Ab aap finish wale option per click Kare.
Step 12- doston jaise hi aap finish wale option per click karoge aapka wish account create ho jaega. Or ab aap asani se wish website par shopping kar sakte hai.
Esi tarah aap apne gmail account se bhi wish account create kar sakte hai. Gmail se wish account create karne per bhi yahi process hogi. aap jisse bhi wish account create karna chahte hai, Facebook ya fir Gmail vah select kar le.
is tarah se aap apne wish account ko create kar sakte hai aur online shopping kar sakte hain.
Doston hame ummid hai apko hamare dwara di gai yah jankari or hamara yah artical pasand aaya hoga.
Conclusion -
Aaj hamne aapko is post me Wish App Account ko kaise create kiya jata hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye.
Aur aagar apko hamara article wish account kaise create kare, achha laga ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.
Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho