Hello dosto to kaise hai, aap log. Hamare article par apka svagat hai. Ham aapko is article me Apple, Samsung, aur Android Mobile me TalkBack option kaise Enable ya Activate ya ON kiya jata hai, yah batane wale hai.
Doston agar aap bhi apne android mobile me ya fir Apple ya Samsung mobile me TalkBack option ko activate karna chahte hai, to fir hamare is article ko pura padhte rahe. Ham aapko is artical me TalkBack kya hai, aur ise kaise enable / on / activate kiya jata hai, iske bare me batane wale hai. To chaliye ab bina der kiye shuru karte hai.
Talk Back Option Kya Hai (what is TalkBack option) -
TalkBack ek Accessibility feature hai jise Google dwara banaya gaya hai, jise ham Google TalkBack ke name se bhi jante hai. is feature ko khaskar un logon ke liye banaya gaya hai, jo dekh nhi sakte hai. Aur jin logon ki aankhon ki Roshani kam hai. aur vah mobile ka upyog karna chahte hai. yah TalkBack feature aapko har mobile me dekhne ko mil jayega.
is TalkBack option ko on karne ke bad koi bhi user's apni mobile screen ko touch karta hai, to sabse pahle mobile us user's ko yah bataega ki yah option kaun sa hai, aur sath hi yah bhi bataega ki is option ko open karne ke liye aapko double click karna hoga, aur users ko vibrate karke yah bhi batata hai ki aapane kaun sa option ko touch kiya hai. yah ek bahut hi kamal ka features hai un logon ke liye jinko kam dikhai deta hai, ya fir jo dekh nhi sakte hai, lekin mobile ka use karna chahte hai. is option ko activate karne ke bad jab ham mobile screen per kuch bhi touch karte hai, to yah option hame sound ki sahayata se ya sound nikalkar hame batata hai humne kaun se option ko open kiya hai.
Ab to aap ko pata chal gaya hoga TalkBack option kya hai, aur mobile me iska use kyo kiya jata hai. Ab ham janenge TalkBack option ko mobile me kaise activate kiya jata hai.
TalkBack Option Kaise Enable/Activate/ON Kare -
Doston TalkBack option ko apne mobile me activate karna bahut hi aasan hai. Yah aapko har Android mobile phone, Apple, Samsung sab me mil jaega. Aur sab me ese activate / enable karne ki process sem hi hoti hai, bus thoda bahut settings me changes dekhne ko mil sakta hai.
Apple, Samsung ya koi Anya Android mobile me TalkBack option ko activate karne ke liye niche bataye ja rahe step ko follow karen.
Step 1- TalkBack option ko activate karne ke liye aapko sabse pahle apne mobile ki setting se me janna hai, ya fir ise open kar le.
- Facebook Account permanently delete kaise kare.
- Facebook Account kaise hack kare.
- facebook colour code list 2022.
Step 2- Ab aapko yahan per Accessibility wale option ko search karna hai, aap upar search bar me click karke ise search bhi kar sakte hai. Ab search karne ke bad Accessibility wale option per click kare.
Step 3- Iske bad yah par aapko TalkBack ka option dikhai dega to aap is wale option per click karen.
Step 4- Ab yahan par aapko Use TalkBack ka option dikhai dega, to simply aap is wale option par click karke ise on kar de.
aur agar aapse yahan par OK ka puchha jaaye to aap ok per click kar de. ab ok per click karne ke bad aapko Back a jana hai.
Doston ab aapke mobile me TalkBack option Enable ya Activate ya ON chuka hai. Aap apne mobile me jis bhi option per click karoge uski jankari aapko TalkBack option ke dwara mil jayegi.
Doston is tarah se aap apne mobile me TalkBack option ko activate kar sakte hai. aur mobile me use kar sakte hai. Mujhe ummid hai aapko hamara hai artical pasand aaya hoga.
Conclusion -
Aaj hamne aapko is post me TalkBack Option ko kaise Enable /Activate /ON kiya jata hai, iske bare me jankari di hai. Aagar apko abhi bhi is post me kuch douts lage to aap hame comments karke jarur bataye.
Aur aagar apko hamara article how to activate TalkBack option in Apple, Samsung, Android Mobile Phone, achha laga ho to ise apne dosto ke sath What's App, Facebook, aur dusri Social Media Site's par share kare.
Abhi ke liye bus itna hi, milate hai aagali post me. Hamari post padhne ke liye thnx, aapka din shub ho.